Islamic Blog

Jaisa Ki Aap Pichhli Post Me Padh Chuke Hai ki AURAT-iSLAAM-SE-PAHLE Kya Thi UsparTarah Tarah Ke Zulm Kie Jaate TheAb Aage Janiye Islam Aane ke Baad Kya huaJab Hamare Rasool-e Rahmat Hazrate, MUHAMMADE MUSTAFA ,( Sallallahu alaihi wasallam )Khuda Ki Taraf Se Deene Islaam Le Kar Tashreef LayeToh Duniya Bhar Ki Satai Hui Aurton Ki Qismat Ka Sitara Chamak UthaAur Islaam Ki Badaulat Zalim Mardon Ke Zulmo Sitam Se Kuchli Aur Raundi Hui Aurton Ka Darja Is Qadar Buland Wa baala Ho GayaKi Ibadat Wa Muamlat Balki Zindagi Aur Maut Ke Har Marhale Aur Har Mod Par Aurtein Mardon Ke Dosh Ba Dosh Khadi Ho GayinAur Mardon Ke Barabri Ke Darje Par Pahunch GayinMardon Ki Tarah Aurton Ke Bhi Huqooq Muqarrar Ho GayeAur Inke Huqooq Ki Hifazat Ke Liye Khudawandi Qanoon Aasman Se Nazil HoGayeAur In Ke Huqooq Dilane Ke Liye Islami Qanoon Ki Adalatein Qayem Ho GayinAurton Ko Malikana Huqooq Hasil Ho GayeChunanche Auratein Apni Mehar Ki RaqmonApni Tijaraton Apni Jayedadon Ki Malik Bana Di GayinAur Apne Maan Baap Bhai Bahan Aulaad Aur Shauhar Ki Meerason Ki Waris Qarar Di GayinGharz Woh Aurtein Jo Mardon Ki JootiyonSe Zyadah Zaleelo Khwar Aur Intahai Majbooro Lachar ThinWoh Mardon Ke Dilon Ka Sukoon Aur InkeGharon Ki Malika Ban GayinAURAT ISLAAM AANE KE BAADChunanche Quraane Majeed Ne Saaf-SaafLafzon mein Farma DiyaQuraan:” ALLAH Ne Tumhare Liye Tumhari Jins Se Biwiyan Paida Kar DinTaki Tumhein Isse Taskeen Hasil HoAur Usne Tumhare Darmiyan Muhabbat Wa Shafqat Paida Kar Di “(Surah Room Aayat 21)Ab Koi Mard Bila Wajah Aurton Ko Na Maar Peet Sakta HaiNa Inko Gharon Se Nikal Sakta HaiAur Na Koi Inke Maalo Asbaab Ya Jayedadon Ko Chheen Sakta HaiBalki Har Mard Mazhabi Taur Par AuratonKe Huqooq Ada Karne Par Majboor HaiChunanche Khudawande Quddoos Ne Quraane Majeed Me Farmaya KiQuraan:”Aurton Ke Mardon Par Aise Hi Huqooq Hain Jaise Mardon Par Aurton Ke Achchey Sulook Ke Saath”(Surah Baqarah Aayat 228)Aur Mard Ke Liye Farmaan Jaari Farma Diya KiQuraan:”Aur Achchey Sulook Se Aurton Ke Saath Zindagi Basar Karo”(Surah Nisa Aayat 19)Tamaam Duniya Dekh Le Ki Deene IslaamNe Miyan Biwi Ki Ijtemai Zindagi Ki Sadarat Agar Mard Ko Ataa Farmai HaiAur Mardon Ko Aurton Par Haaqim Bana Diya HaiTaaki Nizame Khana Dari Mein Agar Koi Badi Mushkil Aan PadeToh Mard Apni Kudadad Taqat Wa Salahiyat Se Is Mushkil Ko Hal Kar DeLekin Iske Saath Jahan Mardon Ke Kuch Huqooq Aurton Par Wajib Kar Diye HainWahan Aurton Ke Bhi Kuch Huqooq Mardon Par Lazim Thahra Diye Gaye HainIs liye Aurat Aur Mard Donon Ek Dusre Ke Huqooq Mein Jakdey Hue HainTaki Donon Ek Dusre Ke Huqooq Ada Karke Apni IjtemaiZindagi Ko Shadmani Wa Masarrat Ki Jannat Bana DeinAur Nifaaq Wa Shiqaaq Aur Ladai Jhagdon ke Jahannam SeHamesha Ke Liye Azad Ho JayeinAurton Ke Darjaat Wa Maratib Ki Itni Buland Manzilon Par Pahuncha DenaYe Huzoor Nabiyye Rahmat( Sallallahu Alaihi Wasallam )Ka woh Ehsaan Azeem Hai Ki Tamam Duniya Ki AurteinAgar Apni Zindagi Ki Akhri Saans TakIs Ehsaan Ka Shukriya Ada Karti RaheinFir Bhi Woh Is Azimushshaan Ehsaan Ki Shukr Guzari Ke Farz SeSubuk Dosh Nahin Ho SaktiTamam Duniya Ke Muhsine Aazam Huzoor Nabiye Akram( Sallallahu Alaihi Wasallam )Ki Shaan-e Rahmat Ka Kya Kahna..

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm