Islamic Blog

Dunia Ka Sabse Purana Mazhab Hai Kyunki Pahle Insan Musalman The Saare Dunia Ke Maap Aadam Alaihissalam hai jo Ki Musalman theYahan Us Dour Ka Zikar Kia Ja Raha HaiJab Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi WasallamTasreef Nahi Laaye The Yaani Doure Jahiliyat Ka Zikar kia JaegaIslaam Se Pahle Aurton Ka Haal Bahut Kharab ThaDuniya Mein Aurton Ki Koi Izzat Wa Wuqat Hi Nahi ThiMardon Ki Nazar Mein Is Se Zyadah Aurton Ki Koi Haisiyat Hi Nahin ThiKi Woh Mardon Ki Nafsani Khwahish Puri Karne Ka Ek Khilauna ThiAurat Din Raat Mardon Ki Qism-Qism Ki Khidmat Karti ThinAur Tarah-Tarah Ke Kamon Se yahan Tak Ki Dusron Ki Mehnat Mazduri Kar ke Jo Kuch Kamati Thi Wo Bhi Mardon Ko De Diya Karti ThinMagar Zalim Mard Fir Bhi In Aurton Ki Koi Qadr Nahin Karte TheBalki Janwaron Ki Tarah In Ko Maarte Pit Tey TheZara-zara Si Baat Par Aurton Ke Kaan Naak Waghairah Azah Kaat Liya Karte TheyAur Kabhi Qatl Bhi Kar Dalte TheyAURAT ISLAAM SE PAHLEArab Ke Log Ladkiyon Ko Zindah Dafan Kar Diya Karte TheyAur Baap Ke Marne Ke Baad Uske Ladkey Jis Tarah Baap Ke Samaan Jayedaad Ke Maalik Ho Jaya Karte TheyIsi Tarah Apne Baap Ki Biwiyon Ke Maalik Ban Jaya Karte TheyAur In Aurton Ko Zabardasti Laundiyan Bana Kar Rakh Liya Karte TheyAurton Ko In Ke Maan Baap Bhai Bahan Ya Shauhar Ki Meeraas Mein Koi Hissa Nhin Milta ThaNa Aurtein Kisi Chize Ki Maalik Hua Karti ThinArab Ke Baaz Qabilon Mein Ye Zalimana Dastoor Tha Ki Bewa Ho Jane Ke BaadAurton ko Ghar Se Bahar Nikaal Kar Ek Chhotey Se Tang Wa Tareeq Jhopdey Mein Ek Saal Tak Qaid Rakha Jata ThaWoh Jhopdey Se Baahar Nahin Nikal SaktiThinNa Ghusl Karti Thin Na Kapdey Badal Sakti ThinKhana Pani Apni Saari Zaruraten Isi Jhopdi Mein Pura Karti ThinBohat Si Aurten Toh Ghut Ghut Kar Mar Jaya Karti ThinAur Jo Zindah Bach Jaatin Ek Saal Baad Inke Aanchal Mein Oonth Ki Mengniyan Daal Di Jaati ThinAur Inko Majboor Kiya Jaata Tha Ki Woh Kisi Janwar Ke Badan Se Apne Badan Ko RagdeynFir Sare Shaher Ka Isi Libaas Mein Chakkar LagayenAur Udhar Oonth Ki Mengniyan Fenkti Hui Chalti RahenYeh Is baat Ka Elaan Hota Tha Ki In Aurton Ki Iddat Khatm Ho GaiIsi Tarah Dusri Bhi Tarah-Tarah Ki KharabAur Taqleef Deh Rasmein ThinJo Ghareeb Aurton Ke Liye Musibataon Aur Balaon KI Pahad Bani Hui ThinAur Bechari Museebat Ki Mari Aurtein Ghut-Ghut Kar AurRo-Ro Kar Apni Zindagi Ke Din Guzarti ThinAURAT ISLAAM SE PAHLEHindustan Mein Toh Bewa Aurton Ke Saath Aise-Aise Dardnaak Zalimana SulukKiye Jate TheyKi Jin Ko Soch Kar Kaleja Munh Ko Aa Jata HaiHindu Dharm Mein Har Aurat Ke Liye FarzTha Ki WohZindagi Bhar Qism-Qism Ki Khidmatein Karke Pati Puja ( Shauhar Ki Puja ) Karti RaheAur Shauhar Ke Marne Ke Baad Uski Chitaa Ki Aag Ke SholonPar Zindah Lait Kar Sati HoJayeYani Shauhar Ki Laash Ke Sath Zindah Aurat Bhi Jal Kar Raakh Ho JayeGharz Puri Duniya Mein Zalim Beraham Mard Aurton ParAise -Aise Zulmo Sitam Ke Pahad Todte TheyKi In Zalimon Ki Dastaan Sun Kar Ek Dardmand InsaanKe Seeney Mein Ranjo Gham Se Dil Tukdey-Tukdey Ho Jata HaiIn Mazlum Aur Bekas Aurton Ki Majboori Wa Lachari Ka Yeh Aalam ThaKi Samaj Mein Na Aurton Ke Koi Huqooq They Na InkiMazlumiyat Par Daado Fariyad Ke Liye Kisi Qanoon Ka Koi Sahara ThaHazaron Baras Tak Ye Zulmon Sitam Ki Mari Ye DukhyariAurtein Apni Is Be Kasi Aur Lachari Par Roti Bilbilati Aur Aansun Bahati RahinMagar Duniya Mein Koi Bhi In Aurton Ke Zakhmon Par Marham RakhneWala Aur Inki Mazlumiyat Ke Aansuon Ko Ponchne WalaDoor-Door Tak Nazar Nahin Aata ThaNa Duniya Mein Koi Bhi Inke Dukh Dard KiFariyad Sunne Wala thaNa Kisi Ke Dil Mein In Aurton Ke Liye BaalBarabar Bhi Rahmo Karam Ka Jazba ThaAurton Ke Is Haale Zaar Par Insaniyat Ranjo Gham Se Bechain Aur Be Qarar ThiMagar Iske Liye Iske Siwa Koi Charah Kaar Nahin Tha Ki Woh Rahmate Khudawandi Ka Intezar kareKi Arhamar-Rahimeen Ghaib Se Koi Aisa Saman PaidaFarma DeKi Achanak Sari Duniya Mein Ek Anokha Inqelaab Namudaar Ho JayeAur Lachar Aurton Ka Sara Dukh -Dard Door Ho Kar In Ka Beda Par Ho JayeChunanchey Rahmat Ka Aaftaab Jab Tulu-a Ho GayaToh Sari Duniya Ne Achanak Mahsus Kiya Ki”JAHAN TAAREEQ THA ZULMAT QADA THA SAKHT KAALA THAKOI PARDEY SE KYA NIKLAKI GHAR-GHAR MEIN UJAALA THA”

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm