Do jahan ke Tajwar, Sultane bahro bar صلی اللہ علیہ والہ وسلم ka farmane ibrat nishan hai:
” Jahannamio ki do qisme aisi hai jin ko me ne (is zamane me) nahi dekha:
1. Ese log jin ke pas gaay ki dumo jese kode honge, un se woh logo ko marte honge aur
2. Woh aurate jo libas pahanne ke ba wuzud urya hongi, woh rahe haq se hatane wali aur khud be rahe haq se bhatki hui hongi, un ke sar bukhti oonto ki kohano ki tarah ek janib zuke hue honge, woh na jannat me dakhil hongi aur na hi jannat ki khusboo sungh sakengi halanki jannat ki khusboo itni itni masaafat se aati hai.
[ Sahih Muslim, Kitabul Adab, Safa 1058]
Hadees ki wajahat:
Is hadise pak me aurato ke libas me malbus hone se murad yeh hai ki woh Allah عزوجل ki neamato se lutf andoz hongi, Jab ki belibas hone se murad yeh hai ki wo neamato ka shukr ada nahi karengi ya is se murad yeh hai ki zahiri taur par to libas zeibe tan karengi magar haqiqatan be libas hongi, woh is tarah ki woh esa barik libas pahanegi jin se un ka badan zalkega,
rahe haq se bhatakne se murad Allah عزوجل ki itaat se ru gardani aur faraiz wa wajibat ki adaegi aur in ki hifazat se munh ferna hai aur rahe haq se hatane se murad yeh hai ki woh dusri aurato ko apne majmum fe’l ki taraf bulaegi. ya rah haq se hadne se murad matak matak kar chalna hai aur rahe haq se hatane se murad kandho ko zatak kar dusro ko apni taraf maeel karna hai ya fir rahe haq se hatne se murad bazari aurato ki tarah apne bal kanghi se sanvarna hai aur rahe haq se hatane se murad bazari aurato ke misl dusro ke bal sanwarna (ya’ni hair styly banana) hai aur aurato ke saro ka bukhti oonto ki kohano ki tarah hone se murad yeh hai ki woh apne sar par koi kapda ya patti lapet kar use buland kar ke itrayengi.
Allah عزوجل hamari qaum ki aurato ko hamesha haq samajhne aur us par amal karne ki taufeeq ata kare aur unki hifazat kare. Aameen..
ﺻَﻠُّﻮْﺍ ﻋَﻠَﯽ ﺍﻟْﺤَﺒِﯿْﺐ
ﺻَﻠَّﯽ ﺍﻟﻠّٰﮧُﺗَﻌَﺎﻟٰﯽ ﻋَﻠٰﯽ ﻣُﺤَﻤَّد
صلی اللہ علیہ والہ وسلم
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021