Islamic Blog

Auraton ko kisi bhi Namaaz mai jamaat ki hajiri ke liye masjid me aana jaez nahi chahe din ki namaaz ho ya raat ki namaaz juma ki namaaz ho ya eid ki namaaz auraton ko jamaat mai shamil hone ke liye masjid mai aana jaez nahi aurat chahe jawan ho ya burhi kisi bhi jamaat ke liye aana rawa nahi (Durre mukhtar 1-380, Bahare Shariat 3-131),

Hazrat Abdullah Bin Masood (Razi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Kisi Aurat Ki Allah Ke Nazdeek Iss Se Mehboob Koi Namaz Nahi Ke Wo Apne Nihayat Tareek Kamre Me Namaz Padhe” (Baihaqi Jild 3, 131),

Huzur Alaihissalatuwassalam ke parda farmane ke baad Hazrat Umar Farook E Azam RadiAllahu Anhu ne auraton ko masjid mai aane par pabandi farmadi aur Hazrat Andullah Ibne Umar RadiAllahu Anhu toh joh aurat masjid mai aati unhe kankariyan maar kar bahar nikaal dete aur Imaam Ibrahim joh Imaame Azam Abu Hanifa ke ustaad ke ustaad hai apni auraton ko masjid mai jaane na dete is mas’ala ki puri jaankari ke liye dekhiye kitab (jamlulnnur fi nahiulnisa an jiyaratulkubur az alahazrat),

Aurat par juma farz nahi juma ke din aurat zohar ki namaaz padhe yun he eidain ki namaaz bhi wajib nahi,

Aurat ke liye namaaz ka tarika detail istarah hai,

1) Takbeer e tehrima,

Apni hatheliya aasteen ya
chadar ke andar chupa kar rakhen, apne dono hath sirf mudho(shoulder)tak uthana hai,

2) Qayaam,

Sine(Breast) ke niche haath baandhe, Baaye haath
ki hatheli (palm) ko sine(breast) ke niche rakh kar uski pusht (back) par daaye haath ki hatheli rakhe,

3) Ruku,

Sirf itna jhuke ki haath ghuthno(knee) tak pahuch
jaye, peeth ko jhuka kar na bichayen, apna sar peeth ke mahaaz se uncha uthaye rakhen, haatho par tek na lagaye yani wazan na den haatho ko ghuthno par sirf rakhen aur ghuthne pakade nahi, haatho ki ungliya kushada na kare balke mili hui rakhe, apni taange jhuki hui rakhe, mardo ki tarah sidhi na rakhe,

4) Sajda,

Simat kar sajda kare, baazu ko karwat se, pet ko raan se, raan ko pindliyo se, aur pindliyo ko zameen se miladen, kalaiyan aur kohniyan zameen par bichaye yani zameen se lagayen,

5) Jalsa aur Kaida,

Dono paun daayin taraf nikal de aur baayen(left) sureen(rump) ke bal jameen par baithe, apni hatheliyan raan par rakhe aur ungliyan mili hui rakhe…

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)