Islamic Blog

Aurat ko Masjid me Eytikaaf Makrooh hai. Balke wo Ghar me hi Eytikaaf kare. Magr us jagah karen jo jagah usne Namaaz padhne ke liye muqarrar kar rakhi hai. Jise “” Masjide Bait 🏠“” kehte hain. Aur aurton ke liye ye Mustahab bhi hai ke ghar me namaz padhne ki jagah set karen. Aur use khoob paak saaf rakhen. Agar aurat ne Ghar me koi namaz ki jagah nahi banai hai to ghar me eytikaaf nahi kar sakti. Aur jab etikaaf ka irada kar liya to kisi jagah ko namaz ke liye khaas kare aur wahan eytikaaf kare.
📖: Bahare Shari’at 5/74.
📖: Dare Mukhtar wa Radul mohtaar.

.. Eytikaaf 10 din 7- 5-3-1 ya Asar se Magrib bhi hota hai. Eytikaaf ki 3 Qismae hain.

1.. Wajib yaani Mannat wala
eytikaaf.

2.. Sunnate Mauqqida: ye Ramazaan k aakhri Ashre me 10 dino me kiya jaaye yaani 20we Ramazaan ko Suraj doobte Waqt. Eytikaaf ki niyat se masjid me dakhil ho jana.

3.. In dono ke ilawa jo hoga wo Mustahab aur Sunnate Gair Muaqqidah hoga.
📖: Bahare Shari’at.

 Iske alawa Nafli eytikaaf Asar se maghrib ya 10 dino me koi bhi ek. Din muqarrar karke kare Sawab payegi.

 eytikaaf ke liye roza shart hai aur Haizo Nafaas se paak ho.
 Eytikaaf se pehle apne Tamaam duniyavi kaam se farig ho jaayen. Apne liye jo kapde pahenne hain use alag kar len miswaak, surma, Quraan Shareef, panjsoorah, bistar mutaale k liye kitaabe Naat Shareef ki kitaabe, tasbeeh, musallah sab alag kalen.
aur Asar se pehle ho sake to taza gusul kar len phir asr ki namaz se pehle eytikaaf ki niyat kar len aur Asar ki Namaaz shuru kar den aapka eytikaaf shuru ho gaya.

Ab aap Eytikaaf me Namaz Tilawat, Darood, Hadees Shareef ke ilaawa maslo masail ki kitaabe bhi padh sakti hain.
eytikaaf me Qaza Umri ke saath saath nawafil bhi padhen jaise Salaato Awwabin, tahajjud, ishraaq, chaasht, Salaato tasbeeh, Wagaira magar Qaza Umri ka khaas khayaal rakhe. Aur har taza wuzu ke baad Tahtihal wuzu Namaaz padh len.

 Etikaaf me in baaton ka khaayl rakhe.
gair mehram se parda aur

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm