Islamic Blog

Aurat Maa Ban Jane Ke Baad 
Aurat Jab Sahibe Aulad Aur Bacho Ki Maa Ban Jaye To Is Par Majid zimmedariyo ka Bojh Badh Jata He Kyuki Sohar Aur Waliden Wagaira Ke Hukook Ke Ilawa Bacho Ke Hukooq Bhi Aurat Ke Sar Par Suwar Ho Jate JiN ko Ada Karna Har Maa Ka Farz Mansabi He Jo Maa Apne Bacho Ka Haq Ada Na Karegi Yakinan Wah Shariat Ke Nadjik Bohat Badi Gunah Gaar Aur Samaj Ki Nazro Me Zalilo Khwar Theregi.
BACHO KE HUQOOQ
1 Har Maa Par Yeh Lazim He Ki Apne Bacho se Pyar Wa Muhabbat  kare Aur Har Muaamle Me Un Ke Sath Mushfikana Bartaw Kare Aur Un Ki Dil Joyi Wa Dil Bastagi Me Lagi Rahe Aur Un Ki Parwarish Aur Tarbiyat Me Puri Puri Kosis Kare.
2 Agar Maa Ke Dhud Me Koi Kharabi Na Ho To Maa Apna Dhud Apne Bacho Ko Pilaye ki Dhud Ka Bacho Par Bada Asar Padhta He
3 Bacho Ki Safai Suthrayi In Ki Tandrusti Wa Salamati Ka Khas Tour Par Dhaayn Rakhe
4 Bacho Ko Har Kism Ke Ranz O Ghum Aur Taklifi Se Bachati Rahe
5 Be Zuban Bache Apni Juriyat bata Nahi Sakte Is Liye Maa Ka Farz He Ki Bacho Ke Isharat Ko Samaj Kar Un Ko Juriyat  Puri Kare
6 Baaz Maa’ye Chilla Kar Ya Billi Ki Boli Bol Kar Ya Sipahi Ka Naam Le Kar Kar Ya Koi Dhamake Kar Ke Chote Bacho Ko Daraya Karti He Yeh Bohat Hi Buri Baate He Baar Baar Esa Karne Se Bacho Ka Dil Kamzor Ho Jata He Aur Waoh Bade Hone Ke Baad Darpok Ho Jaya Karte He.
7 Bache Jab Kuch Bolne Lage Toh Maa Ko Chahiye Ki Unhe Baar Baar ALLAH wa Rasool  Sallallahu  taala  alahi  wasallam   ka Naam Sunaye Un Ke Samne Baar Baar Kalima Padhe Yaha Tak Ki Woh Kalima Padh Na Shik Jaye.
8 Jab Bache Bachiya Taalim Ke Kaabil Ho Jaye To Sab Se Phele un Ko Quran Sharif Aur Diniyat Ki Talim Dilaye
9 Bacho Ko Islami Aadab Wa Akhlak Aur Dino Mazhab Ki Baate Sikhaye
10 Achi Baato Ki Ragbat Dilaye Aur Buri Baato Se Nafrat Dilaye
11 Taalimo Tarbiyat Par Khas Tour Par Tawazoh Kare Aur Tarbiyat Ka Dhayan Rakhe Kyuki Bache Sada Waraq Ke Manid Hote He Sada Kagaz Par Jo Naksha Nigar Banaye Jaye Woh Ban Jate He Aur Bacho Bachiyo ka Sab Se Phele Madrasa Maa Ki Godh He Is Liye maa Ki taalimo Tarbiyat Ka Bacho Par Bohat Gahra Asar Padhta He Lihaza Har Maa Ka Farz Mansabi He Ki Bacho Ko Islami Tehzib wa Tamamdun Ke Sanche Me Dhak Kar Un Ki Behtareen Tarbiyat Kare Agar Maa Apne Is Haq Ko Ada na Karegi Toh Gunahgaar Hogi.
12 Jab Bacha Ya Bachi Sath 7 Baras Ke Hojaye To Un Ko Taharat Aur Wuzu Wa Gusl Ka Tarika Sikhaye Aur Namaz Ki Taalim De Kar Un Ko Namazi Banaye Aur Paaki Wa Na Paaki Aur Halal Wa Haram Aur Farz Wa Sunnat Wagaira Ke Masail Un Ko Bataye
13 Kharab Ladko Aur Ladkiyo Ki Sohbat Un Ke Sath Khelne Se Bacho Ko Roke Aur Khel Tamasho Ke Dhekne Se Nach Gane Cinema Theatre wagaira Lagwiyat se Bacho Aur Bachiyo Ko Khas Tour Par Bachaye
14 Har Maa Baap Ka Farz He Ki Bacho Aur Bachiyo Ko Haf Bure Kaam Se Bachaye Aur Un Ko Ache Kaamo Ki Ragbat Dilaye Taaki Bache Aur Bachiya Islami Aadab Wa Akhlak Ke Paband Aur Imaandari Wa Din Daari Ke Johar Se Aarasta Ho Jaye Aur Sahih Mana me Musalman Ban Kar Islami Zindagi Basar Kare.
15 Yeh Bhi Bacho Ka Haq He Ki Un Ki Padais Ke Sathwe Din Maa Baap Un Ka Sar Mundwa Kar Baalo Ke Wazn Ke Barabar Chandi Kherat Kare Aur Bache Ka Koi Acha Naam Rakhe Khabar dar Khabardar Hargiz Hargiz  Bacho Bachiya Ka Koi Bura naam Na Rakh
16 Jab Bacha Paida Ho To foran Hi Uske Daye Kaan Me Aazan Aur Baye Kaan Me Ikamat Padhe Taaki Bacha Setan Ke kalal Se Mehfuz Rahe Aur Chuhara Wagaira Koi Mithi Chiz Chaba Kar Us Ke Munh Me Daal De Taaki Bacha Siri Zuban Aur Ba Akhlak Ho
17 Naya Mewa Naya Fak Phele Bacho Ko Khilaye Fir Khud Khaye Ki Bache Bhi Taza Bhi Taza Fal He Naye Fal Ko Naya Fal Dena Acha He
18 Chand Bache Bachiyo Ho To Jo Chize De Sab Ko Yaksa Aur Barabar De Hargiz Kami Besi na Kare Warna Bacho Ki Haq Talfi Hogi Bachiyo Ko Har Chiz Bachi Ke Barabar Hi De Balki Bachiyo Ki Diljoyi Wa Dildari Ka Khas Tour Par Khayal Rakhe Kyuki Bachiyo Ka Dil Bohat Nazuk Hota He.
19 Ladkiyo Ko Libas Aur Zewar Se Aarasta Aur Banaw Singhar Ke Sath Rakhe Taaki Log Ragbat Ke Sath Nikah Ka Pegam De Haa Is Ka Khayal Rakhe Ki Woh Zewrat Pehan Kar Bahar Ma Nikle Ki Choro Dakuo se Jaan Ka khatra He Bacchiyo Ko Bala Khano Par Na Rehne De Ki Isme Be Hayai Ka Khatra He
20 Hatal Imkan Barah Baras Ki Umr Me Bachiyo  Ki Shadi Karde Magar Khabardar Hargiz Hargiz Kisi Bad Deen Ya Bad Mazhab Maslan Rafzi Kharji Wahabi Gair muqqallid Wagaira ke yaha Ladko ya ladkiyo ki Shadi Na Kare warna Awlad ki Bahot Badi Haq talfi Hogi Aur Maa Baap Ke Saaro Par Bohat Bade Gunah Ka Boj Hoga Aur Woh Azabe Jahannam Ke Haqdar Hoge Isi Tarah Fasiko Fajiro Sharabiyo Badkaro Haram Ki Kamai Khane Walo Sod Khoro Aur Na Jaiz Kaam Dhanda Karne Walo Ke Yahan Bhi Ladko Aur Ladkiyo Ki Shadiya Na Kare Aur Rista Talash Karne Me Sab Se Phele Aur Sab Se Jiyada Mazhabe Ahle Sunnat Aur Deen dar Hone Ka Khas Tour Par Dhyan Rakhe.
AULAD KI PARWARISH KARNE KA TARIKA :-
Har Maa Baap Ko Yeh Jaan Lena Chahiye Ki Bachpan Me Jo Achi Buri Aadate Bacho Me Pukhta Ho Jati He Woh Umr Bhar Nahi Chu-tti Isiliye Maa Baap Par Laazim Je Ki Bachpan Hi Me Achi Aadate Sikhaye Aur Buri Aadato Se Bacahye Baaz Log Yeh Keh Kar Abhi Baccha He Bada Hoga To Thik Ho Jayega Bacho Ko Shararato Aur Galat Aadato Se Nahi Rokte Woh Log Dar Hakikat Bacho Ke Mustakbil Ko kharab Karte He Aur Bade Hone Ke Baad Bacho Ke Bure Akhlak Aur Gandi Aadato Par Rote Aur Matam Karte He Is Liye Nihayat Jaruri He Ki Bachpan hi me Bacho Ki Koi Shararat Ya Buri Aadat Dheke Toh Is Par Rok Tok Karte Rahe Balki Sakti Ke Sath Dante Fitkarte Rahe Aur Tarah Tarah Se Buri Aadato Ki Buraiyo Ko Bacho  ke Samne Zahir Kar Ke Bacho Ko In Kharab Aadato Se Nafrat Dilate Rahe Aur Bacho Ki khubiya Aur Achi Achi Aadato Par Khub Khub Shabas keh Kar In Ka Mann badhaye Balki Kuch Inaam De Kar Inka Hosla Buland Kare Is.
Is Se Kabl Ke Bacho Ke Hukook Ke Bayan Me Bacho Ke Liye Bohat Se Mufid Baate Hum Likh Chuke He Ab Is Se Kuch Jaid Baate Bhi Hum Likhte He
Maa Baap Par Laazim He Ki In baato Ka Khas tour Par Dhyan rakhe Taaki Bacho Aur Bachiyo Ka Mustakbil Roshan Aur Shandar Ban Jaye 
Source:http://www.diniraah.net/
Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm