Islamic Blog

Sarkare Madeena Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Irshad Farmaya,

“HAR MUSALMAAN PAR QAAH MARD HO YA AURAT ILM HAASIL KARNA FARZ HAI.”

(SUNANA IBNE MAAJ-JAH)Iss Farmaan ke bawajood Bahut Log Aaj Bhi Ladkiyon ki Taaleem Dilane me Hichkichahat Mehsoos Karte Hain. Shaayed Wo Bhool jaate Hain K”AULAD KI PARWARISH KA BEHTAREEN TARBIYAT GAAH MAA KI AAGHOSH HAI””MAA KI GOAD(LAP) AULAAD KA PEHLA MADARSA HAI”AqlaaQ Wo Kirdaar Ko Muzayyan Karne Ka Sunhera Waqt BACHPAN Ka Hota Hai. Iss Liye Maa Bachche Ki Taaleem Ke saath Saath Uske Seerat-o-Kirdaar Par Bhi Tawajjo Deti Hai.Isi Liye Mohsin-e-Insaniyat Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Auroton Ki Taleem Wa Tarbiyat Ki Taraf Tawajjo Dilayi Aur Farmaya,”JISKO ALLAH NE BETI DI WO USKI TARBIYAT KARE, USSE BEHTAR TAALEEM DILAYE. ALLAH KI JO NEAMATEN USSEMAYASSAR HAIN UNHE APNI BETI PAR DIL KHOL KAR KHARCH KARE, TOU YE USKE HAQ ME JAHANNUM ME DHAAL BAN JAYEGI”(AL MOJAMUL KABEER)Ab Sawaal Ye Paida Hota Hai ke”KYA AURAT KO ASRI TAALEEM KI ZAROORAT HAI?Jawaab Me HAAN Hi Kehna Padhega. Kyun Ki”AGAR AURAT DOCTOR NA HO TOU AURATEN MARDON SE ILAAJ KARNE PAR MAJBOOR HONGI AUR NA CHAHTE HOYE BHI JISM KE QAAS HISSE KO KHOLNA PADHEGA AUR UNHE CHHUNE AUR DEKHNE KI IJAAZAT DENI PADHEGI”Tou Mere Dosto Agar Aap Se Ho Sake Tou Auraton Ke Liye Alag Se Engineering, Medical Colleges Aur Degree Colleges Establish Karo Taaki Hamari Bachchiyan Deeni Mahol Me Asri Taleem Hasil Kar Sake.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm