Islamic Blog

☆ Aye Logon Tum Par Hajj Farz
Kiya Gaya ….
» Mehfum-e-Hadees : Hazrat-e-
Abdullah Ibne Abbas(RaziAllahu
Anhu) Se Riwayat Hai,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Irshad Farmate Hai –
Jabh Hazrat-e-Ibrahim (Alaihay
Salam) Khaana-e-Kaaba Ki
Tameer Muqammal Kar Liye Tou
Allah Ta’ala Ki Bargaah Me
Marooza Kiye –
‘Ilaahi Maine Tameer
Muqammal Kar Li Hai!’
Tabhi Allah Ta’ala Ne Hukm
Farmaya – ‘Logon Mein Hajj Ka
Ailaan Karo” Unhone Arz Ki
Ilaahi Meri Aawaz Kaise
Pahuchegi.?
Allah Ta’ala Ne Irshad Farmaya
– ‘Aawaz Dena Tumhara Kaam
Hai Aur Usey Pahuchana
Humare Zimme Hai’.
Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam)
Ne Arz Kiya – ‘Ilaahi Mai Kin
Kalimaat Se Ailaan Karu.?’
Allah Ta’ala Ne Farmaya – Iss
Tarah Karo ‘Aye Logon Tum Par
Hajj Farz Kiya Gaya Mu’azzaz
Aur Mukkaram Ghar Kaabatullah
Ka Hajj Tum Par Farz Kiya
Gaya’.
Toh Zameen Aur Aasmaan Ke
Darmiyan Jitni Makhlooq Thi
Sab Ne Aapki Aawaz Suni Yahi
Wajah Hai Ke Tum Dekhte Ho Ke
Hujjaj Zameen Ke Koney Koney
Se Labbaik Labbaik Kehte Huwe
Hajj Ke Liye Aate Hai.
– (Al Mustadrak Al Saheeheen
Lil Haakim Hadees No 3421)
• Note : Hajj Ek Maali Ibadat Hai
Jo Tamaam Sahibe Nisab
Musalamno Par Farz Hai, Lihaja
Jo Hazraat Istehat Rakhte Hai
Unka Apni Puri Zindagi Me Kum
Se Kum Ek Baar Ka Hajj Lazmi
Hai.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm