Islamic Blog

Bismillahirrahmanirraheem

1. Har namaz k liye Azaan deni chahiye: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Jab namaz ka waqt aaye to tum mein se koi ek azaan kahe, aur tum mein se bada imamat karaaye”. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 628, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 674)

2. Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu azaan kehte hue kaano mein ungliya daalte they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 197)

3. Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu “HAIYYA ALAS SALAAH” kehte hue muh daayi janib phair lete they aur “HAIYYA ALAL FALAAH” kehte waqt baayi taraf. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 634, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 503)

4. Hazrat Usman bin Abul Aas Razi Allahu Anhu ki riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unko unki quam ka imam muqarrar kiya aur farmaya “Muazzin wo muqarrar kar jo apni azaan par mazdoori na le”. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 531, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 2091, ise Hakim 1:199, 201 aur Zahbi ne sahih kaha)

5. Muazzin wo muqarrar karna chahiye jo buland aawaaz wala ho: Hazrat Abdullah bin Zaid Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey farmaya “Bilal ko azaan sikhaao kyunki wo tum se buland aawaaz hai”. (Abu Dawood Hadees no. 499, Tirmizi Hadees no. 189)

6. Ek Sahabiya Razi Allahu Anha farmati hai k masjid k qareeb tamaam gharo se mera makaan uncha tha aur Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu us (makaan) par (khade ho kar) fajar ki azaan dete they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 519, Ise Ibne Hajar ne sahih kaha)

7. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi ko farmaya “Jesa muazzin kehta hai tu bhi usi tarah jawab de phir jab to jawab se farigh ho jaye to (dua) maang! to diya jayega”. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 524, ise Imam Ibne Hibban  295 ne sahih kaha)

8. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Azaan aur takbeer k darmiyaan Allah ta’ala dua radd nahi farmata”. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 521, Tirmizi Hadees no. 312, ise Imam Tirmizi ne hasan kaha)

9. Bimaariyo aur waba k moqey par loog ghar gahr azaaney dete hai ye sunnat se sabit nahi, kyunki is silsiley mein paish ki jaane wali tamaam riwayaat zaeef hai.

10. “AS SALAATU KHAIRUM MINAN NAUM” k alfaaz siwaaye fajar k kisi aur azaan mein nahi kehne chahiye.

11. Iqamat, azaan k fauran baad nahi honi chahiye kyunki Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Azaan aur takbeer k darmiyaan nafil namaz hai, Aapne teen baar ye kalmaat kahe phir farmaya jiska dil chaahye (namaz padhey)”. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 624, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 838)

12. Subah sadiq se kuch dair pehle bhi ek azaan hai Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Tumhey Bilal ki azaan sehri khaane se na rookey kyunki wo raat ko azaan dete hai takey tahajjud padhne wala lout aaye aur sooney wala khabardaar ho jaye”. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 621, Sahih Muslim Kitabus Siyaam Hadees no. 1093)

13. Is azaan aur namaz e fajar ki azaan mein itna waqfa nahi hota tha jitna k aaj kal kiya jata hai, Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai dono muazzino k darmiyaan sirf is qadar waqfa hota tha k ek azaan de kar utarta aur doosra azaan k liye chadh jata. (Sahih Muslim Hadees no. 1092)

14. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Jab iqamat ho jaye to farz namaz k alawa koi namaz nahi hoti”. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 710)

Agar koi jamaat ki parwaah na karte hue sunnatey padhega to phir “Naiki barbaad gunah laazim” wala muhawara poora ho jayega, lihaza namaziyo ko chahiye k agar wo tashahud k qareeb na pahunchey hue ho fauran sunnatey tood kar jamaz k saath shamil ho jaye han agar koi shaks yahi namaz us se pehle jamat k saath ada kar chuka ho to phir wo sunnatey jaari rakh sakta hai. Wallahu Aalam

15. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Jab iqamat kahi jaaye to saff mein shamil hone k liye na bhaago balkey waqaar k saath chalte hue aao jo namaz tum (imam k saath) paa lo aur jo reh jaaye usey baad mein poora karo”. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 636, Sahih Muslim Hadees no. 602)

16. Ek shaks azaan sun kar masjid se nikla Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne farmaya k beshak us shaks ne Abul Qasim Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki nafarmaani ki. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 655)

Shari uzr ya namaz ki tayyari k silsiley mein bahar jaana padey to jayez hai

17. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Jo namaz ka iraadah kare to goya wo namaz hi mein hai”. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 602)

Yaani agar wo bila wajah susti se kaam na le to jab tak wo namaz nahi padh leta, usey namaz ka sawab musalsal mir raha hota hai. (Wallahu Aalam)

18. Hameed riwayat karte hai k mene Sabit Banaani se pucha: Kya namaz ki iqamat ho jaane k baad imam batey kar sakta hai? to unhoney mujhe Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ki hadees bayan ki k ek martaba namaz ki iqamat ho chuki thi, itne mein ek shaks aaya aur iqamat ho jaane k baad Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se baatey karta raha. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 643, Sahih Muslim Hadees no. 376)

19. Ek dafa namaz ki iqamat ho gayi, logo ne safey barabar karli, itne mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko yaad aaya k aap junbi hai aapne loogo se kaha, apni jagah khade raho, phir aapne (ghar ja kar) gusal farmaya aur jab aap wapas tashreef laaye to aapke sar se paani tapak raha tha phir aapne namaz padhaayi. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 640, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 605)

Bhool jana insaani kamzoori hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam bashar they isi liye bhool gaye ye bhi sabit hua k bhoolna shaan e khilafat k khilaf nahi hai.

Source:http://muhammadiblog.blogspot.in/

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm