Haroon Rasheed ne ek raat apne wazeer se kaha
“Aaj mujhe kisi Buzurg ke paas le chalo, kyu ki mera dil is karobar (hukumat ke kaam) se uktaa gaya hai, thodi der itminaan o raahat paana chahta hu”
wazeer Haroon Rasheed ko le kar ek saahab ke makaan par gaye,
darwaza knock karne par andar se awaz ayi “Kaun hai? ”
wazeer ne jawab diya “Ameer-ul-Momineen Hain”
andar se awaz ayi “Mujhe khabar kyu na ki, taaki main khud khidmat me haazir ho jaata”
Haroon Rasheed ne ye sun kar wazeer se kaha ” Ye wo nahi hain jis ki mujhe talaash hai”
wazeer ne kaha “To fir Fuzail Ayaaz ke makaan par chalte hain”
Baadshah ne kaha “Chalo”
dono, Hazrat Fuzail ke makaan par pahunche,
us waqt Hazrat Fuzail Quraan ki tilaawat kar rahe thy aur ye Aayat padh rahe thy
“(Tarjuma) Jin Logo Ne Burey Kaam Kiye Hain, Kya Wo Sochte Hain Ki HAM un Ko Un Logo Ke Saath Baraabar Kar Denge Jinhone Neik Kaam Kiye”
Haroon Rasheed ne ye Aayat sun kar kaha “Agar koi naseehat talab karu to yahi Aayat kaafi hai”
fir darwaza knock kiya….
Hazrat Fuzail: Kaun hai?
Wazeer: Ameer-ul-Momineen hain.
Hazrat Fuzail: Ameer-ul-Momineen ka mujhse kya kaam?
Aur mujhe unse kya kaam?
mujhe mashghool na kijiye.
Wazeer: Haakimo ki ita’at zaruri hai.
Hazrat Fuzail: Mujhe pareshan na karo.
Wazeer: Hamein andar aane ki ijaazat dijiye, Warna ham zabardasti andar aa jayenge,
Hazrat Fuzail: Meri ijaazat nahi hai, agar zabardasti aatey ho to mukhtaar ho.
(haroon rasheed ke dil pe in baaton ka bada asar hua, aur wo wazeer ke saath andar daakhil hua,
jaise hi wo log andar daakhil Hazrat Fuzail ne chiraagh bujha diya taaki haroon rasheed ka chehra nazar na aaye,
inhi sab me haroon rasheed ka haath Hazrat Fuzail ke haath par pad gaya)
Hazrat Fuzail: Ye haath kaisa narm hai, agar dozakh ki aag se bach jaye.
(ye keh kar namaaz namaaz shuru kar di…)
Haroon Rasheed rone lage aur boley
“aakhir koi baat to ham se kijiye”
Hazrat Fuzail ne salaam fera, to farmaya
“Aap ke Baap, Rasoollallah Sallallaahu Alaihi Wasallam ke chacha thy, unho ne Huzur Sallallaahu Alaihi Wasallam se darkhwast (request) ki
“Mujhe kisi kism ka sardaar kar dijiye”
to Huzur Sallallaahu Alaihi Wasallam ne farmaya “Aye Chacha ! Maine Aap Ko Aap Ke Nafs Par Sardaar Kiya”
Haroon Rasheed: Kuch aur farmaiye.
Hazrat Fuzail: Jab Hazrat Umar ko Takht-e-Saltanat par baithaya gaya, to unho ne apne dost se kaha “Main bahot badi aazmaish me mubtila hua hu, mujhe is aazmaish me kaamyaab hone ki koi tadbeer bataiye”
to ek saahab ne unse kaha “agar aap chahte hain ki kal aap ko azaab se nijaat ho, to musalman budho ko apne baap ke jaise, aur jawano ko bhaiyo ke jaise, aur bachchon ko farzind ke jaise, aur aurton ko maa aur bahen ke jaise janiye, aur un ke saath bartaaw bhi achcha kijiye.
Haroon Rasheed: Kuch aur farmaiye,
Hazrat Fuzail: aur Buzurgon par maherbaani karo, aur bhalaayi ke saath ahsaan karo, aur aulaad ke saath neki karo..
Aye Haroon Rasheed ! Main tere khubsoorat chehre ko dekh kar darta hu ki aisa na ho ki dozakh ki aag isko jalaaye, is liye ki “(tarjuma) Kitne Ameer Hain Jo Waha (qayamat ke din) Aseer Honge”
Haroon Rasheed ye baatein sun ke rone laga aur khoob roya,
fir kaha “kuch aur farmaiye”
Hazrat Fuzail: Khuda se uske saamne jawaab dene se hoshyaar reh ! aur taiyaar reh ki qayamat ke din Allah Ta’ala tujh se ek-ek musalman ke baare me baz’prs karega aur har ek ka insaaf talab karega, agar kisi raat koi budhiya bhi kisi ghar mein bhuki soyi hogi to kal qayamat ke din tera daaman pakdegi…..
ab Haroon Rasheed rotey-rotey be’hosh ho gaya..
wazeer ne kaha “bas kijiye, aap ne to Ameer-ul-Momineen ko maar hi daala”
Hazrat Fuzail ne farmaya “Khamosh reh ! isey main nahi balki tujh jaise khushaamad (buttering) karne wale maarte hain”
fir Haroon Rasheed ko hosh aaya to kaha “kya kisi ka kuch baaki hai?”
Hazrat Fuzail ne kaha “Haa ! Allah Ta’ala ka mujh par qarz hai aur wo qarz uski itaa’at hai, agar wo is baat me mujh par giraft kare to afsoos hai mujh par….”
Haroon Rasheed ne kaha “main logo ke qarz ke baare me pooch raha hu”
Hazrat Fuzail ne kaha “Allah Ta’ala ka shukr hai ke us ne bahot badi nematein ataa kar rakhi hai aur mujh kuch bhi shikayat nahi”
fir Haroon Rasheed ne 1000 dinar ki theli unke saamne rakh di aur kaha
“ye maal halaal aur pak hai aur mujhe meri maa ke warse se mila hai”
Hazrat Fuzail ne farmaya
“meri saari naseehatein bekaar ho gayi, main tujhe nijaat aur tum mujhe halaakat me dalna chahte ho,
main kehta hu ki jo kuch tumhare paas hai haqdaro ko de do, magar tum jise nahi dena chahiye usey dete ho”
ye farma kar haroon rasheed ke paas se uth khade huye aur darwaza band kar liya.
Haroon Rasheed aur wazeer bahar aaye to Haroon Rasheed ne kaha
“waqayi ! ye Mard-e-Haq aur Allah ka dost hai”
(Tazkira-tul-Auliya)
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021