• Kisi ka ayeb talash karne wale ki missal us makkhi ki jaisi hai jo sara Khoobsurat jism chhod kar sirf zakhm per hi batih ti hai.
• Ye na soncho Allah tumhari dua ko fouran qabool kyun nahi karta ye shukr karo k tumhare gunahon ki saza faouran nahi deta.
• Jo Allah k diye huwe rizq ko kafi samjhe wo zindagi me kabhi kisi ka mohtaj nahi ho sakta.
• Allah se daro! Tumhen gunahon k ba wajood bhi Allah ki Naimaten mil rahi hai.
• Ye daant Allah ki Naimaten kha kha kar tu te ja rahe hain lekin Zaban Allah ki na Shukri se baaz nahi aati.
• Ham ne khuda ko pehchana magar us ki mar’rifat ka Haq ada na kiya.
• Ham ne Quran padha magar us per aml na kiya.
• Ham ne Rasool s.a.w se mohabbat ki magar sunnat par aml na kiya.
• Ham ne adawat shaitani ka dawa kiya magarus ki mukhalifat na ki.
• Ham ne jannat ko chaha magar us me dakhil hone ka saman na banaya.
• Ham ne jahannam se panah mangi magar khud hi apne nafso ko us me daal diya.
• Ham ne mout ko brhaq jana magar us k liye tayyari na ki.
• Ham ne doosron ki aaib joi ki magar apne aayeb na daikhe.
• Ham ne Allah ki naimten khai magar us ka shukr ada na kiya.
• Ham ne murdon ko dafan kiya magar ibrat hasil na ki.
• Dua hai k Allah hamen apne shukr guzar bandon me shamil hone ki toufeeq ata farmaye Aameen.
• Zindagi ki asal khoobsurti ye nahi k Aap kitnekhush hai bal k zindagi ki asal khoobsurti to ye hai k doosre aap se kitna khush hain.
• Logon k khof se haq ki baat kehne se na rukokyun k na to koi mout ko qareeb kar sakta hai aur na koi rizq ko door kar sakta hai.
• Logon ko dua k liye kehne se behter hai k aise aml karo k logon k Dil se aap k liye dua nikle.
• Doulat, Rutba aur Ekhtiyar milne par Insan badalta nahi us ka asli chehra samne aajata hai.
• Khoobsurat log lazmi nahi k acche ho, Lekin Acche log hamesha khoosurat hote hai.
• Do chehre insan ko kabhi nahi bhoolte Aik mushkil me sath dene wala aur doosra mushkilme sath chhod jane wala.
• Gunah k chota hone ki taraf na daikho bal k ye daikho k tum Nafarmani kis ki kar rahe ho.
• Bagair koshish k kamiyabi aisa hai jaise bagair paro k udne ki koshish karna.
• Suraj guroob hone par agr tum rote raho ge to sitaron ko bhi kho baithoge.
• Jab manzil samne ho to raste talash nahi karte.
• Mout aisa qarz hai jo ham sab ko aik na aik din ada karna hai.
• Agar manzil pana chahte ho to kabhi mayoosna hona.
• Aakhirat ka kaam aaj karle, duniya ka kal karlena.
• Khush kalami aisa phool hai jo murjhata nahi.
• Itna narm na bano k nichhod liye jao aur na itna sakht k tod diye jao.
• Kisi ka dil mat dukhao kyun k tumhare pahlu me bhi dil hai.
• Tanahai me nasihat karne se islah, jab k sareaam nasihat karne se ruswai hoti hai.
• Kisi gareeb insan k bhaide aur phate huwe libas ko na daikho bal k us ki sharafat aur insaniyat ko daikho.
• Apni islah karna sab se mushkil doosron per nokta chini karna sab se aasan kam hai.
—————- Koun Kehta hai k koi Mera Nahi Raha
—————- Jab tak Khuda ki Zaat hai Tanha Nahi hu Mai.
• Agr tum hanste ho to sari duniya tumhare sath hanse gi, lekin rote waqt tumhen akele rona padega.
• Lakhon ko dost banana koi badi baat nahi, badi baat ye hai k aik aisa dost banao jo tumhara us waqt sath de, jab lakho tumhare mukhalif hon.
• Gunah se bachne ka aasan tareen hul ye hai k Gunahon ko talte raho gunah se bache rahoge aise hi jaise naiki ko talte ho.
• Kisi ko ilzam dete waqt apne gireban me jhaank lena chahiye.
• Kabhi kisi ka dil mat dukhao kyun k muaafi mang lene k bawajood use dukh zaroor rahegaJaise diwar me lage keel ko nikaalne k bawajood Nishan rah jata hai.
• Koi tumhara dil dukhaye to naraz mat hona, kyun k Qudrat ka qanoon hai jis darakht ka phalzyada mitha hota hai log patthar bhi usi ko marte hai.
• Dushmano k darmiyan aise raho jaise aik (1) zaban battees (32) danton k darmiyan rahti hai, milti sab se hai dabti kisi se nahi.
• Shak aik aisi Bimari hai jo insan ka sukoon khatam kar deti hai.
• Aansuon ka jari Na hona dil ki sakhti ki wajehse hai.
• Dil ki sakhti gunaho ki kasrat ki wajeh se hai.
• Gunahon ki kasrat mout ko bhulane ki wajeh se hai.
• Mout se gaflat lambi ummidon ki waje se hai.
• Lambi ummiden duniya se mohabbat ki waje se hai.
• Duniya ki mohabbat hi har gunah ki jad hai.
• Zindagi ko is Tarha Jeo k Jaise hamesha Zinda hi Rehna hai…! Aur
• Aakhirat ki Fikar Aise karo Jaise aglay hi lamhe mar Jana hai…! (Hazrat Ali r.a)
• 3 ka Ehteram karo: Waldain, Ustad, Buzurg.
• 3 ko sath rakho: Sacchai, Iman, Naiki.
• 3 ko yaad rakho: Nasihat, Ehsan, Mout.
• 3 k liye lado: Watan, Izzat, Haq.
• 3 par qabo rakho: Nafs, Gussa, Zaban.
• 3 se bacho: Hasad, Burai, Chogli.
• 3 aik baar milti hai: Waldain, Husn,
Jawani.
• 3 samajh kar uthao: Qadam, Qasam, Qalam.
• 3 sonch kar karo: Mohabbat, Baat, Faisla.
• 3 kisi ka intezar nahi karti: Mout, Waqt, Umr.
• 3 ko chota mat samjho: Farz, Qarz, Marz.
• Kaaba par Gilaf is liye hai k pata chale k ye koi aam ghar nahi Allah ka ghar hai.
• Quran par Gilaf is liye hai k pata chale k ye koi aam kitab nahi Allah ki kitab hai.
• Aourat ko parde ka hukum hai k pata chale ye koi aam aourat nahi Musalman aourat hai.
• Apni nazron ko bhi jhuka kar chala karo k pata chale k ye koi aam shaksh nahi Hazrat Muhammad s.a.w ka ummati hai.
• Allah k khof se tanhai me rone k siwa koi bhi cheez Allah ki narazgi ko nahi mita sakti.
• Dua k siwa koi cheez taqdeer k faisle ko rad nahi kar sakti.
• Naiki k siwa koi cheez umr ko nahi badha sakti.
• Sadqe k siwa koi cheez musibat ko nahi taal sakti.
• Zakat k siwa koi cheez doulat aur maal ko paak nahi bana sakti.
• Kayenat me khair o shar dono moujood hai shar se bachne ka wahid rasta ye hai k Allah kiraza me yun doob jao k sirf Allah hi Allah baqi rah jaye.
• Khuda un mutakabbiron ko sakht na pasnd karta hai jin ki chaal me akad hoti hai aur aise logon par zameen o aasman la’nat karte hai.
• Sab ko pata hai sab jante hai k filmo me kaam karne wale sharabi hai.
• Sab ko pata hai sab jante hai k filmo me kaam karne wale zani hai.
• Sab ko pata hai sab jante hai k filmo me kaam karne wale be haya hai.
• Sab ko pata hai sab jante hai Phir bhi ham unko apna ideal mante hai.
• Sab ko pata hai sab jante hai phir bhi ham unse mohabbat karte hai.
• Kya aap aise gande aur na paak logon ko apna ideal banaoge?
• Jis ne in jaiso ko pasnd kiya us ki Pasnd bhi gandi, sonch bhi gandi.
Mujhko Bada hi Afsos hota hai k Hamare pyare bhai aur bahne aise logon ko pasnd karte hai aur un se mohabbat karte hai un ki adao ko apne zindagi me late hai, Kash! K ye log aisi mohabbat hamare pyare Nabi s.a.w se karte, Kash! K ye log hamare pyare Nabi s.a.w ki sunnaton per aml karte, kya ye log bhool chukek ye duniya fani, yaha ki har cheez fani hai aik din hamen Allah Tala k yaha khada hona hai agr ham in jaiso ko pasnd karenge to hamara hashr bhi un hi k sath hoga.
“The Prophet (peace_be_upon_him) said: He who copies any people is one of them.”
– Sunan Abu-Dawud, Book 32, #4020 –
Narrated Abdullah ibn Umar. [1].
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:
1. Gane wali moazzaz ho jayengi
2. Mosiqi k aalat ki hifazat ki jayegi. Jo jis se Muhabbat kare Ga Jis k Culture ko Follow kare ga us ka Hashar unhi main se hoga…..
Mere pyare bhai aur bahno se meri adaban guzarish hai k behuda gane ya pics upload na kare aur apne Profile pic per bhi na rakhe jo jo us ko daikhe ya gana sunenge sab ka gunah aap ko hoga. Ab faisla aap khud karle k aap ko kaha kamiyab hona hai kaha ki zindagi aap ko pasnd hai.
———————-{ Duniya —- ya phir —- Aakhirat }———————-
Shuru Allah k Naam se: Aur Duniya ki ye zindagani to mahez khail tamasha hai Albatta aakhirat k ghar ki zindagi hi haqiqi zindagi hai,Kash! Ye jante hote.
(Surah:Al-Ankabut, Surah No:29, Aayat No:64)
——————-{ Kyun k Kal ko Tumhein Paish hona Hai }——————-
Aye INSAN tu samajhta hai k tu hamesha zinda rahe ga??? Nahi balke duniya jald hi tumhara naam zindo main se nikal kar murdo ki fahrist main shamil kar degi.
• Walidain: Bohat roenge aakhir mayous ho karbaith jayenge.
• Azeez o Aqarib: Tumhain khoob yaad kar k hamesha k liye bhool jayenge.
• Biwi: Kuch arsa sogawaar rahe gi magar kuch roz k baad halaat ki tabdiliyan ise taza mashaghil main uljha dengi.
• Bachay: Bohat yad karenge magar ahista ahista in k zehan se tumhara naksh mit jaye ga.
• Tufaan: Tumhari qabar ki bulandi ko hamwaar kar k tumhara naam safa-e-hasti se mita denge.
• Chand Saal Baad: 1 Bhule howe khuwab ki tarha ho jao ge.
• Nisf Sadi: Guzar jane par is baat ka andaza karna mushkil hoga k tum kabhi duniya main bhi aye the?
Is Liye Duniya ki Fikr Chhodo! Or Aakhirat ki tayyari karo Jahan hamesha ki zindagi Hamare Muntazir hai..BESHAK: Wohi wo Jaga hai Jahan hmesha k liye Rehna hai.
Zindagi main do pal koi mere paas nahi baitha,
Aaj sab mere paas baithe ja rahe hai,
Koi dua ka tohfa na mila aaj tak mujhe,
Aur aaj sab mere magfirat ki dua diye ja rahe hai,
Taras gaye ham kisi k hath se ek kapde ko, Aur aaj naye naye kapde pehnaye ja rahe hai,
Do qadam sath chalne ko na tayyar tha koi,
Aur aaj sab qafila banker le ja rahe hai,
Aaj pata chala k mout itni haseen hoti hai,
Aye Abuzar tu yunhi be fikr k jiye ja raha tha.
Jayega jab Jahan se kuch bhi na Paas hoga,
Do gaz kafan ka tukda tera Libas hoga.
Kabhi ham aise the Jaise Aaj tum ho Aur,
Kal tum aise ho jaoge jaise aaj ham Hain.
Aye Allah Ham sab ko Aakhirat ki Tayyari karne ki Toufeeq Ata Farma Aameen.
———————-{ Aye Noaman Tujhe Kya Hogaya }———————-
• Tu ne apni ibadaton ko sirf pareshani aur musibat k waqt k liye hi rakha huwa hai.
• Tu ne 70maao se zyada chahne wale Rab ko sirf apni waqti khwahesh k liye Naraz kiya huwa hai.
• Zara sonch to sahi wo Rab hai k jis ne itne gunah karne k bawajood teri aankhen na nikali, tere hath aur pairon ko salamat rakha, aur tu hai k us se door hi hota ja raha hai.
• Yaad rakh! Tujhe aaram k liye nahi bal k “Imtehan” k liye bheja gaya hai.
• Wo zaat jis ne tumhen mitti se insan banaya.
• Wo zaat jo tumhare gunahon k bawajood tumhen har roz rizq deta hai.
• Wo zaat jo tumhari toba pe tumhari gunahonko bhi naikiyon me badal deta hai.
• Wo zaat jo tumhare raaz jante huwe bhi tumhari sarkashi k bawajood unhen fash nahi karta.
• Wo zaat jis ne tumhen fazilat bakhshi tamammakhooq par.
• Wo zaat jis ne tumhare liye Quran utara ta k tum rahe hidayat pa sako.
• Aur tum apne rab ki kis kis naimat ko jhutlaoge.
—————{ Aye Noaman Tu Khud Jan le Tera Hai Qasoor Kitna }—————
Hazrat Musa a.s k Sahifon ka Mazmoon:
Hazrat Abuzar r.a ne pucha aye Allah k Rasool s.a.w! Musa a.s k Sahifon me kya Mazameen the? Nabiakram s.a.w ne Farmaya sab ki sab Ibrat ki baten thi (un me se chnd ye hai) Allah Tala ne Farmaya:
• Mujhe taj’jub hai us shaksh par jis ko mout k aane ka yaqeen hai aur phir bhi itrata aur akadta aur takabbur karta hai.
• Mujhe taj’jub hai us shaksh per jis ko jahannam k moujood hone ka yaqeen hai phir bhi wo us se gafil ho kar hansta hai.
• Mujhe taj’jub hai us shaksh per jo daikhta hai duniya apne chahne walon k sath kaisa bura hashar karti hai phir bhi wo duniya se mutmain hai.
• Mujhe taj’jub hai us shaksh per jo kal qabaraur qayamat k hisab ko janta hai phir bhi aml nahi karta.
———-{ Hai Nafs K Hathon Tu Majboor Kitna}———-
• Hai nafs k hathon tu majbor kitna,
• Sab jan k bhi hai aj la shaoor kitna,
• Jis chehre ne hai ek din matti men mil jana,
• Us chehry pe hai tujhe garoor kitna,
• Ek sajde k inkar ne IBLEES ko Shetaan bana diya,
• Tu khud jan le tera hai qasoor kitna,
• Jin ki sunnat pe chalna tujhe gawara nahi,
• Tere liye roye the woh HUZOOR kitna,
• Tune chakhi hai fakhat Gunahon ki lazzat,
• Tu kiya jane zikr-e-ilahi men hai suroor kitna,
• Teri shahrag se bhi ziyada jo tere qareeb hai,
•Phir bhi tu us khuda se hai door kitna!
———————{ Think About It}———————
–{ Mahbubiyat ki Shart Awwal }–
Shuru Allah k Naam se:
keh dijiye! Agr tum Allah Tala se mohabbat rakhte ho to meri tabedari karo khud Allah Tala tum se mohabbat karega aur tumhare gunah muaaf farmadega aur Allah Tala bada bakhashne wala maherban hai.(Al-Imran, Aayat:31)
• Beshak Allah neki karne walon ko dost rakhtahai.(al-baqarah, aayat:195)
• Beshak Allah toba karne walon ko aur paak rahne walon ko pasnd farmata hai.(al-baqarah, aayat:222)
• Beshak Allah Tala parhaiz garon se mohabbat karta hai.(al-imran, aayat:76)
• Aur Allah sabr karne walon ko (hi) Chahta hai.(al-imran, aayat:146)
• Beshak Allah Tala tawakkul karne walo se mohabbat karta hai.(al-imran, aayat:159)
• Beshak Allah insaf karne walon k sath mohabbat rakhta hai.(al-maidah, aayat:42)
• Aur Allah Tala paak rahne walon ko pasnd karta hai.(al-toba, aayat:108)
• Beshak Allah to un ko pasnd karta hai jo us kirah me saf baandh kar ladte hain goya wo sisapilayi huwi diwar hai.(al-saf, aayat:4)
• Tum Allah Tala k Zikr me dil lagalo sukoon aur itminan tum se dil laga lenge.
Allah Tala Farmate hai Bande se:
Tu karta wo hai jo Tu chahta hai, Par hota wo hai jo Main chahta hoon,Tu wo kar jo Main chahta hoon, Phir wo hoga jo Tu Chahta hai.
———{ Allah Tala k Napasandidah Log “QuranMajid ki Roushni me” }———-
• Allah Tala zyadati karne walon ko pasand nahi farmata.(surah:al-baqarah, aayat no:190)
• Allah Tala kafiron se mohabbat nahi karta.(surah:al-imran, aayat no:32)
• Aur Allah Tala zalimon se mohabbat nahi karta.(surah:al-imran, aayat no:57)
• Allah Tala takabbur karne walon aur shaikhi khoron (badai karne) ko pasnd nahi farmata.(surah:al-nisa, aayat no:36)
• Yaqinan daga baaz gunahgar Allah Tala ko accha nahi lagta.(surah:al-nisa, aayat no:107)
• Aur Allah Tala fasad karne walon se mohabbat nahi karta .(surah:al-maidah, aayat no:64)
• Allah Tala had se badhne walon ko pasnd nahi karta.(surah:al-maidah, aayat no:87)
• Aur beja na udana k Allah Tala be ja udane walon ko dost nahi rakhta.(surah:al-an’am, aayat no:141)
• Allah Tala khayanat karne walon ko pasand nahi farmata. (surah:al-anfal, aayat no:58)
• Allah Tala garoor karne walon ko pasand nahi farmata.(surah:al-nahl, aayat no:23)
• Beshak Allah Tala kisi khayant karne wala nashukra Allah Tala ko har giz pasand nahi.(surah:al-haj, aayat no:38)
• Allah Tala itrane walon se mohabbat nahi rakhta.(surah:al-qasas, aayat no:76)
Meri taraf aa kar to dekh,
Mutawajjah na houn to kehna..
Meri raah mein chal kar to dekh,
Raahein na khol doon to kehna..
Mere liye be-Qadar ho kar to dekh,
Qadar ki hadd na kar doon to kehna..
Mere liye lut kar to dekh,
Rahmat ke khazaane na luta doon to kehna..
Mere koche mein bik kar to dekh,
Anmol na kar doon to kehna..
Dhooni maar kar to dekh,
Ilm-o-Hikmat ke moti na bakher doon to kehna..
Mujhe apna Rab maan kar to dekh,
Sab se be-niyaaz na kar doon to kehna..
Mere khouf se aansu baha kar to dekh,
Maghfirat ke dariye na bahaa doon to kehna..
Wafa ki laaj nibha kar to dekh,
Ataa ki hadd na kar doon to kehna..
Meri raah mein nikal kar to dekh,
Israar-e-Ayaan na kar doon to kehna..
Mujhe HAYYU-al-QAYYUM maan kar to dekh,
Abdi hayaat ka ameen na bana doon to kehna..
Mere naam ki ta’azeem kar ke to dekh,
Takreem ki intahaa na kar doon to kehna..
Apni hasti ko fanaa kar ke dekh,
Jaam-e-Baqaa se sarfaraaz na kar doon to kehna..
Bil aakhir Mera ho kar to dekh,
Har kisi ko tera na bana doon to kehna..
Hazrat Muaz Bin Jabal Razi Allahu anhu ne bayan farmaya ke Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam ne mujhe 10 BAaton ki Wasiyyat farmayi
1. Allah ke sath kisi cheez ko Shareek na bana Agarche tu Qatal kardiya jaye aur tujhe Jala diya jaye,
2. Aur apne MAA Baap ki Nafarmani Hargiz na karna Agarche tujhe Hukum den ke apne ghar Walon ko aur Maal o Daulat ko chord kar Nikal jao.
3. Farz Namaz Hargiz Qasdan na Chord kyu ke Jisne Farz Namaz Chord di use Allah ka Zimma Bari hai.
4. SHARAB hargiz ma pi kyu ke wo BEHAYAAI ki Jad hai.
5. Gunah se bach kyu ke Gunah ki wajeh se Allah ki narazgi Naazil ho jati hai.
6. Maidan e Jihaad se mat bhaag Agarche (Doosre) log (tere sathi) Halaak hojayen.
7. Jab logon me (wabai) Maut phail jaye aur tu wahan maujood ho to wahan jam kar rehna (us jagah ko chord kar mat jaana).
8. Aur jin ka kharcha tujh par laazim hai(Biwi bachche waghaira) un par apna Acha Maal kharch karna.
9. Aur inko Adab sikhane ke pesh nazar unse apni lathi Hata kar mat rakhne.
10. Aur inko (Allah ke ahkaam o Qawaaneen) ke bare me darata rahna.
[MISHKAT AZ MUSNAD AHMED]
IS HADEES ME JIN BAATON KI NASEEHAT FARMAYI HAI BHOT AHEM HAIN WIRD E ZABAN AUR HARZ E JAAN BANANE KE QABIL HAIN AAB E ZARR SE LIKHI JAYEN TAB BHI INKA HAQ ADAA NAHI HOGA. HAR MUSALMAN PAR LAAZIM HAI KE IN NASEEHATON PAR AMAL KARE.
Huzoor Alaihissalam Farmate Hain:
“Duniya aur Aurat Se Bacho Kyuki! Bani Israil Me Sabse Pehla Fitna Aurat Ki Wajahse Utha Tha
– (Sahi Muslim Page: 1465 Hadees: 2742)
Allah Ke Nazdik Sab Se Pasandeda Amaal Waqt Par Namaz Parhna aur Waldain Ke Sath Accha Sulook Karna Hai.
– (Bukhari, Jild 4, Page 589, Hadees 7534)
Qayamat ke din sabse pehle namaz ka hisab hoga Agar wo achhi hui to baqi sub aamal achhe honge. Agar wo kharab to sub kharab
(Tabrani)
Hazrat Abu Hurairah (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ne Kaha Ki, Huzoor (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Logo Par Ek Zamana Aisa Bhi Aayega Jab Ke Koi Iss Baat Ki Parwaah Na Karega Ki Usne Jo Maal Kamaya Wo Halaal Hai Ya Haraam.”
-: (Bukhari Vol-1 Page-276)
Aqlmand Wo Shakhs Hai Jo Apne Nafs Ko Allah Ke Ta’abe Kare Aur Mout Ke Baad Ke Liye Amal Kare Aur Bewakoof Wo Shakhs Hai Jo Apne Nafs Ko Apni Khwahish Ke Ta’abe Kare Aur Allah Par Ummid Rakhe.
-: (Ibne Maajah, Tirmizi Sharif)
Allah Ta’ala Ke Khauf Se Girnewala Aansu Beshak Chhota Kyun Na Ho Lekin Isme Itni Taqat Hoti Hai Ke Wo Samundar Ke Barabar Gunaah Mita Deta Hai.
Nabi-E-Paak (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Farmaya :
“Maine Jannat Me Aksar Gareebon Ko Dekha aur Jahannam Me Ziyada Ta’adaad Aurton Ki Thi”.
-: (Bukhari Sharif)
Huzoor (Sallallaho Alaihe Wasallam) Ne Farmaya: Ke
“Agar Aadmi Ke Paas Do Jungle Maal Ke Ho Jaye Toh Teesre Ki Talaash Karega,
Insan Ka Pet Qabr Ki Mitti Hi Bhar Sakti Hai”.
-: (Bukhari 6436)
Pyare Aqa-e-Kareem Sallallaho Alayhe Wasallam Ney Farmaya:
“Meri Saari Ummat Jannat Me Chali Jayegi Siwaae Uskey Jisney Jannat Me Janey Sey Inkaar Kar diya.
Sahabaon (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ney Pucha Aey Allah Key Rasool!
Jannat Main Janey Sey Toh Koi Bad Bakht Hi Inkaar Karyga.
Aap (Sallallaho Alayhe Wasallam) Ne Farmaya:
Jisney Meri Ita’at Ki Wo Jannat Main Gaya Aur Jisney Meri Nafarmani Ki Usney Jannat Me Janey Sey Inkaar Ki”.
-: (Sahi Bhukhari, Kitaab Ahkam)
Nabi Karim sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Har Muslman Par Khairat Karna Jaruri Hai To Logo Ne Ap Se Pucha Ai Allah Ke Rasool s.a.w Agar Kisi Ke Pas Maal Na Ho To Wo Kya Kare? Ap Ne Farmaya Wo Mehanat Kar Ke Kamai Kare Us Me Se Khud Istemal Kare Aur Khairat Bhi Kare Logo Ne Pucha Agar Aisa Na Kar Sake To Wo Kya Kare ?Ap Ne Farmaya Is Halat Me Wah Achi Bato Par Amal Kare Aur Buri Bato Se Bache Us Ke Liye Yahi Sadka Hai.
[Sahi Bukhari 1495 Ravi Saeed Bin Abu Burda R.A]
Rasool Allah(Sallallah -u Alaihay Wasallam) Farmate Hai, “Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Laanat Kare, Log’on Ne Kaha Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Laanat Karega ?
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: Matlab Ki, “Ek Shaks Dusre Ke Baap Ko Gaali De Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De Aisa He Ki Woh Apni Maa Ko Gaali De.”
-: (Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Aqab, Hadees No#5973)
1. Aye iman walon! Allah Tala se daro aur seedhi seedhi (sacchi) baat kiya karo.(Surah:Al-Ahzab, Surah No:33, Aayat No:70)
2. Aur mere bando se kehdijiye k wo bahot hi acchi baat muh se nikaale.(Surah:Baniisrail, Surah No:17, Aayat No:53) aur logon ko acchi baten Kahna (Surah:Al-Baqarah,Surah No:2, Aayat No:83)
3. Apni raftaar mai miyanarvi Ekhtiyaar kar, aurapni aawaz pst kar, yaqinan aawazon mai sub se battar aawaaz gadhon ki aawaaz hai.(Surah:Luqman,Surha No:31, Aayat No:19)
4. Aur jhooti baat se bhi parhaiz karna chahiye.(Surah:Al-Haj,Sura h No:22,Aayat No:30)
5. Aur jub tum baat karo to insaf karo, go wo shaqs Qarabat daar hi ho.(Surah:Al-An’am, Surhaah No:6, Aayat No:152)
6. Aur haq ko batil k sath qalat malat na karo aur na haq chupao, tumhe to khud is ka ilm hai.(Surah:Al-Baqarah,Sura h No:2,Aayat No:42)
—-{ Hamesha sach bolo ta’kay tumhain Qasam khanay ki zarorat na Padey }—-
• Jin logo k khyalat ache hote hai wo kabi bhi tanha nahi hote.
• Hamesha Muskurao kyon k DUNIYA hamesha muskurane walo ka hi saath deti hai.
• Fazool behas behtreen DOST se JUDA karti hai.
• Jo darakht PHAL na de wo SAYA zaroor deta hai.
• Jo Zyada bolta hai wo shrmindagi uthatha hai.
• Tum tb tk na haso Jub tk k tum Majboor na hojao.
• Jo Khamoosh rhta hai wo aman me raاhta hai.
Hazrat Abdullah r.a Riwayat karte hai k Rasulullah s.a.w ne irshad farmaya: bila shubasach bolna naiki k raste per daal deta hai aur naiki Jannat tak pohcha deti hai, aadmi sach bolta rahta hai yahan tak k use Allah Tala k yaha siddiq (bahot saccha) likh diya jata hai, Bila shuba Jhoot burai k raste per Dal deta hai aur burai us ko dozakh tak pohcha deti hai, aadmi Jhoot bolta rahta hai yaha tak k Allah Tala k yaha use kazzab (bahot jhoota) likh diyajata hai.(Muslim).
• Allah ki Dosti us shaksh k dil me nahi ho saktijis k dil me Allah ki Makhlooq ki Mohabbat aur khair khwahi na ho.
• Sacchi dosti ye hai k Muflisi me dost ki zyada madat ki jayen.
• Jis ne Quran pak ko samajh liya goya us ne Duniya o Aakhirat ko palia.
• Buland iradon k Alawa howsla bhi zaroori hota hai.
• Azeem hai wo dil jis me doosron k liye dard ka Ehsas ho.
• Bharosa aik aisa phool hai jo shak ki bo soongte hi murjha jata hai.
• Ilm ye hai k agar koi tum per Zulm kare to use muaaf kardo.
• Bahtareen kalam wo hai jis se sunne wale komalal na ho.
• Khamushi aaib nahi bal k be wajah bolna aaib hai.
• (Aalim) ilm se pehchana jata hai.
• (Muttaqi) taqwe se pehchana jata hai.
• (Momin) Josh iman se pehchana jata hai.
• (Insan) Apne kirdar se pehchana jata hai.
• (Dost) Waqt padhne per Pehchane jate hain.
• (Dushman) Tanhai me pehchana jata hai.
• (Sipahi) Maidane kar saaz me pehchana jata hai.
• (Tabeeb) apne tajrube aur qabiliyat se pehchana jata hai.
• (Dana) apni aqalmandi aur danishwari ki buniyad per pehchana jata hai.
• (Jahel) apne jahel ki wajeh se pehchana jatahi.
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021