Islamic Blog

HIQAYAT1f337🌷
**********
1f33a🌺Hazrat Khwaja Kuthbuddin Bakhtiyar Kaki Rehamatullah Ta’aala Alaihi Jab Chote The To Unki Maa Ne Unke Dil May ALLAH Ki Mohabbat Daalne Keliye Ek Tarika Apnaya! Jab Aap Madarse Se Aaye, Kaha Ammi! Bhook Lagi Hain! Maa Ne Kaha Beta Ham Bhi ALLAH-TA’AALA Se Maangte Hain, Wo Deta Hain, Aap Bhi Usi Se Maango, Kaha Kaise Maangu? Aapki Walida Ne Kaha Bete, Musalle Per Bait Jao, Hath Uthao, Dua Maango! Bacche Ne Dua Maangi Aur Fir Pucha Ammi Ab Kya Karoon? Maa Ne Kaha Kamre May Jao, ALLAH-TA’AALA Ne Tumahra Khana Kahin Rakh Diya Hoga! To Maa Ne Khana Banaker Chupaya Hua Tha! Bacche Ne Zara Dekha To Milgaya! To Ab Bacche Ka Yeh Mamul Bangaya Ki Roz Dua Maangta Aur Use Khana Miljata! To Bacche Ke Dil May ALLAH-TA’AALA Ki Mohabbat Badne Lagi! Maa Badi Khush Thi Ki Meri Tarbiyat Acchi Chal Gayi!

1f33a🌺ALLAH-TA’AALA Ki Shaan, Ki Ek Din Maa Ko Rishtedaron May Kisi Takrib May Jana Pada Aur Wahan Daer Hogayi! Jab Usko Waqt Ka Khayaal Aaya, To Bacche Ke Aane Ka Waqt Ho Chuka Tha Aur Wo Roti Pakaker Aayi Nahi Thi! Lihaza Maa Bechari Ne Burkha Sir Per Rakha Aur Tez-Tez Kadam Utha Rahi Hain, Chal Rahi Hain Aur Aankhon May Aansu Hain Aur Dil May Fariyaad Hain, Mere Maula Maine To Bacche Ko Yakin Banane Keliye Yeh Saara Muamla Kiya Tha Agar Aaj Mere Bacche Ko Khana Na Mila To Kahin Uska Yakin Tut Na Jaye, Meri Galti Ko Chipa Lena, Meri Mehnat Ko Zaya Na Karna! Maa Duayen Maangti Hui Aayi To Dekha Baccha So Raha Hain, Maa Jaldi Se Aaker Khana Banaya Aur Fir Bacche Ke Gaal Ka Bosa Liya, Usko Uthaker Seene Se Lagaya, Aur Kaha Beta! Aaj To Tumeh Bahoat Bhook Lagi Hogi? Bacche Ne Kaha Nahi, Pucha Kyon? Isliye Ammi Main Jab Madarse Se Aaya Tha, Aap Bhi Ghar May Nahi Thi, Maine Musalla Bichaya, Dua Maangi Ki ALLAH Mujhe Bhook Lagi Hain Aur Aaj Ammi Bhi Ghar Per Nahi Hain Mujhe Khana De De, Ammi Uske Baad Main Kamre May Gaya To Mujhe Ek Roti Padi Hui Milgayi! Wo Maine Khayi, Magar Ammi Jo Maza Mujhe Aaj Aaya Usse Pehle Wo Maza Kabhi Nahi Aaya Tha! Lihaza Unka Naam Pad Gaya Kuthbuddin Bakhtiyar Kaki Rehmatullah Ta’aala Alaihi! Yeh Itne Bade Shaikh Bane Ki Waqt Ke Mughal Baadshah Bhi Unke Mureed Bangaye!

(Sukoon-A-Khana, Pg-206-07)

*********************
1f338🌸SABAK1f338🌸
********
Maayen Aisi Hoti Hain Jo Insaan Ko Insaan Bana Deti Thi Jinki Barkaton Se Bacche Auliya Bante The! Aisi Maa Keliye Fir Shari-at Ne Kuch Huquq Batayen Hain!

(1) Pehla Yeh Ki Baccha Zubaani Bhi Aur Amli Taur Se Bhi Maa Ki Taazim Kare!

(2) Dusra Yeh Ki Sharayi Kaamon May Maa Ka Kehna Maane Yahan Tak Ki Agar Boodih Maa Hain To Nafli Kaam Ko Chhodker Apni Maa Ki Khidmat Ko Tarji De!

(3)Tisra Haq Yeh Hain Ki Maa Ko Dukh Na Pahuchayen Chahe Uski Taraf Se Kuch Zyadati Bhi Ho!

(4)Chautha Haq Yeh Hain Ki Maa Agar Kaafira Bhi Ho To Bhi Uski Zarurat Ka Khayaal Rakhen Aur Jaan-Maal Se Uski Khidmat Kare!

(5)Paanchwa Haq Yeh Hai Ki Agar Maa Ke Zimme Koi Karza Ho To Aulaad Ko Chahiye Ki Wo Khud Ada Kare!

(6)Chatta Yeh Haq Hain Ki Maa Se Jo Milne Wali Hain Maslan Maa Ki Bahene, Maa Ke Rishtedar, Maa Ki Saheliyan Unke Sath Bhi Usi Tarah Adab Se Pesh Aayen Jis Tarah Maa Ke Sath Adab Se Pesh Aata Hain!

(7)Saathwa Yeh Haq Hain Ki Maa Ke Marne Ke Baad Uske Liye Dua-A-Magfirat Kare, Nafli Sadqaat Ya Ibadaton Ke Zariye Apni Maa Ko Sawaab Pahuchata Rahe, Magfirat Ki Dua Karta Rahe!

Yeh Maa Ke Huquq Hain Kis Liye?

Ki Is Maa Ne Insaan Ko Insaan Banaya!
*******************

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm