Islamic Blog

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Bachchey ki surat Walid ya Walida ke khandan se milna

Hazrat Abu Hurairah se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass ek Dehati aaya aur kaha ki ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam meri biwi ne kaala ladka paida kiya hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pucha tumharey pass oont hai ? usney kaha haan Aapney farmaya unke Rang kaisey hai usney kaha Surkh Aapney farmaya usmein koi khaki Rang ka bhi hai ? usney kaha Haan to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir ye kaha se aa gaya usney kaha mera ye khayal hai ki kisi Rag ne ye Rang ( Apney Aba wa Ajdad se – ancestors se ) kheench liya hai jiski wajah se aisa oont paida hua hai , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki phir aisa bhi mumkin hai ki tere betey ka Rang kisi Rag ne (ancestors se ) kheench liya ho

Sahih Bukhari, Vol8, 6847

Anas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Mard ki mani gaadi aur safed hoti hai aurat ki mani zard aur patli hoti hai jo koi ek dusrey se sabqat le jaye (yani jiski mani pahely nikal jaye) to bachcha usi ki shakal ka paida hota hai (Sahih)
Sunan Nasaii, Vol 1, 202

Aisha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Jab Aurat ka nutfa mard ke nutfey par ghalib ho to bachcha apne nanihal ki mushabeh hota hai
Aur jab mard ka nutfa aurat ke nutfey par ghalib ho to bachcha dadihaal par parhta hai
Sahih Muslim, Vol1, 715

———————————————————

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : A bedouin came to Allah’s Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam and said, “My wife has delivered a black child.” The Prophet said to him, “Have you camels?” He replied, “Yes.” The Prophet said, “What color are they?” He replied, “They are red.” The Prophet further asked, “Are any of them gray in color?” He replied, “Yes.” The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam asked him, “Whence did that grayness come?” He said, “I thing it descended from the camel’s ancestors.” Then the Prophet said (to him), “Therefore, this child of yours has most probably inherited the color from his ancestors.”
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 82, Number 830

Narrated by Anas may ALLAH be pleased with him The Messenger of Allah Peace be upon him said: The man’s water is thick and white, and the women’s water is thin and yellow. Whichever of them comes first, the child will resemble (that father or mother).
Sunan Nasaii, Vol 1, 200 (Sahih)

It is reported on the authority of ‘A’isha that Messenger of Allah (may peace be upon him) said when the genes contributed by woman prevail upon those of man, the child resembles the maternal family, and when the genes of man prevail upon those of woman the child resembles the paternal family.
Sahih Muslim, Book #003, Hadith #0613

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)