Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim
———
✦ Badey gunah (Kabira Gunah)
———
✦ Al Quran: Agar tum Un Bade Gunahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya to hum tumhare (chote) gunaah maaf kar denge aur tumhey Ezzat ke Maqam mein dakhil karenge
Surah An-Nisa (4) Aayah 31

✦ Al Quran : Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke bare mein puchte hain kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch fayde bhi hain magar unka Gunah unke fayde se bahut bada hai
Surah Al-Baqara, (2), Verse 219

✦ Al Quran : Aur Yateemo ko unke maal de do aur napak ko paak se na badlo aur un ke maal apne maal ke saath mila kar kha na jaya karo , ye bada gunah hai
Surah An-Nisa , Aayat 2

✦ Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se badey (kabira) gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
1. ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna, 2. Waaldein ki nafarmani karna,
3. Kisi ki (nahaq) jaan lena ,4. aur Jhooti gawahi dena.
Sahih Bukhari, Vol 4,2653

✦ Abdulllah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya yakeenan kabira gunaho mein se ye bhi hai ki koi apney waldein par laanat bhejey (logo ne pucha) ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam koi shakhsh apney hi waldein par laanat kaisey bhejega to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi shakhs dusro ke walid ko bura kahaega to dusra bhi uskey walid aur maa ko bura kahega (aur is tarah wo kabira gunaah kar dega)
Sahih Bukhari,Vol 7, 5973

✦ Abdullah bin Mas’ud Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine pucha ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kaunsa gunaah sabse bada hai?
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna halanki usi ne tumhe paida kiya ha.,
maine pucha iske baad ? ,
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Apni Aulad ko is khauff se maar dena ki wo tumhare saath tumhare khane mein sharik hogi.
maine pucha uske baad ?
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki apne padosi ki biwi se zina karna.
Sahih Bukhari, Vol8, 6811

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)