Islamic Blog

NASIHAT:-
**********
Shab-A-Qadr Kis Qadr Azmat Wali Raat Hain! Is Raat May Har Khas-O-Aam Ko Baksh Diya Jata Hain! To Hum Kuch Logon Ki Badh-Kismati Ka Bhi Riwayat-A-Bala May Zikr Hain, Jaise Ki Gharon May Taswir Aaweza Karne Wale, Gharon Ke Ander Kuthte Rakhne Wale, Be-Gusl Rehne Wale, Sharabi, Maa-Baap Ke Na-Farmaan, Katah Rehmi Karne Wale Aur Aapas May Bila Kisi Sharayi Majboori Ke Kina Rakhne Wale Wagaira! Is Aam Bakshish Se Mehroon Kerdiye Jate Hain!
“Tazkiratul Wayizeen” May Ek Riwayat Nakl Ki Gayi Hain! Jisme 9 Kism Ke Badh-Nasibon Ka Zikr Hain Jo ALLAH AJJOWAJJAL Ki Is Rehmat-A-Aamma Se Is Mubarak Shab Ko Mehroom Kerdiya Jata Hain!
Chunanche, Irshad Farmaya Ja Raha Hain Ki 9 Kism Ke Logon Se ALLAH-TA’AALA Aaj Ki Raat Bhi Na-Khush Raha Aur Unko Muaf Nahi Farmaya! Wo 9 Kism Ke Log Yeh Hain-
(1)Jo Log Maal Ki Zakaat Nahi Dete,
(2)Jo Log Khoon-A-Na-Haq Karte Hain,
(3)Rishtedaron Se Katah Taalluk Karne Wale,
(4)Qabristan May Jaker Hasne Wale,
(5)Lagai-Bhujayi Karne Wale,
(7)Deeni Ustaad Ko Taklif Dene Wale,
(8)Namaz May Susti Karne Wale,
(9) 3 Din Se Zyada Musalman Bhai Ki Taraf Se Dil May Kina Rakhne Wale!

TAUBA KERLO!
****************
Mithe Islami Bhaiyon Aur Behno! Kaher-A-Haq-O-Jabbar Se Laraj Jane Keliye Yeh Baat Kaafi Nahi Hain? Aur Shab-A-Qadr Jaisi Ba-Barkat Raat Bhi Jin Mujrimon Ki Bakshish Nahi Ki Ja Rahi Wo Kis Qadr Shadid Mujrim Hoge? Haan, Agar In Gunahon Se Sidq-A-Dil Se Tauba Kerli Jaye Aur Huququl Ahbaad Wale Muamlaat Bhi Hal Kerliye Jaye To Fir ALLAH AJJOWAJJAl Ka Fazl-O-Karam Be-Hadh Aur Be-Inteha Hain!

(Faizaan-A-Sunnat Pg-1290-91)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm