☆ Assalam o walaikum ☆
ﺑﺴﻢﷲﺍﻟﺮﺣﻤﻦﺍﻟﺮﺣﻴﻢ☆☆BAHTAREEN AURAT- SHARM O HAYA WALI☆
☆-
•”Bahtareen Aurat” Tobah Karne Wali Aur SharmO Haya Waali Hoti Hai, Kyonki Wo Haya Karne Waalion Me se Hai,Meri Pyari Musalman Baheno ! Haya Badi Azeem Us Shan Khoobi Hai,Ye Aala Akhlaq Me Shumar Kiya Jaata Hai Aur Aurat Ki Nafs Ki Paakeezgi, Uske Jazbah Deen Ki Hifazat Ki Be’daari, Huququllah Ki Umdah Paas’dari Par Dalaalat Karta Hai, Haya Momin, Pak Daaman, Taahirah Aur Shareef Auraton Ki Sifat Hai,
ALLAH TA’ALA Ne Tumhe Haya Ki Taqeed Farmaayi Hai, Aur Haya Waalion Ki Taareef Karte Hue Farmaya Hai
“Fir Un Dono Me Se Ek (Ladki) Sharmati Lajaati (Moosa) Ke Paas Aayi, Usne Kaha,Beshaq Mere Waalid Tujhe Bulaate Hain Taake Wo Tujhe Hamari Khaatir Paani Pilaane Ke Liye Mazdoori De Den”(Surah Qasas 25: 28)
Yani Wo Sharm O Haya Ke Saath Logon SeHat’kar Aur Unse Door Rahte Hue Aayi, Jabke Usne Apne Chehre Par Apne Kapde Ya Haath Se Pardah Kar Rakha Tha,Pas Agar Musalman Aurat Haya Wali Na Ho TohMominaat Mese Nhi Hai, Kyonki Jisme Haya NaHo, Uska Koi Imaan Nhi Hota,
HAZRAT ABU HURAIRAH (RADI ALLAHUANHU )Bayan Karte Hain Ke NABI-E-KAREEMﷺ Ne Farmaya”Haya Imaan Hai Aur Imaan Jannat Me Hoga”(Jame Tirmizi Bab Maja Fil Haya Hadith No.2009, Musnad Ahmad 2/501)Jab Tum Is Qabil E Tareef Sifat Ko Apna LogiToh Tumhari Seerat Wa Kirdaar Aur TumhareTamam Maamlaat Me Har Tarah Ki Bhalaayi AaJaayegi,Haya Musalman Aurat Ko Bure Fa’aal Se RoktiAur Bure Akhlaq Se Mahfooz Rakhti Hai,Kyonki Haya Ka Jazba Saraasar Khair Hi KhairHai,Isiliye JANABRASOOLLALLAHﷺ Ne Farmaya”Haya Sirf Khair Hi Laati Hai”(Sahih Bukhari Kitabul Adab Bab HayaHadith No, 6117,Sahih Muslim Kitab UlImaan BabAdad Shoebul Iman Hadith No. 37)
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022