Islamic Blog

  1.     Eid ke pahle din qurbani karna afzal hai kyonki yah din sab dino se afzal hai( abu dawood).
  2.     Qurbani karne ka waqt eid ul adha ki namaz padhne ke baad shuru hota hai(bukhari).
  3.     Khasi kiye huye janwar ki qurbani jaiz hai balke afzal he kiyu ke khasi wale janwar ka gosht achha hota hai.
  4.     Qurbani ke jaanwar ko khila pila ke mota taaza karna chahiye.
  5.     Afzal qurbani oont ki, phir bakri, phir oont me hissa lena.
  6.     Jis jaanwar ko qurbani ki niyyat se khareed liya jaaye use bechna haraam hai.
  7.     Agar koi shakhs eid ki namaz padhne se pahle hi jaanwar jabah kar de to uski qurbani nahi hogi balki usi eid ki namaz ke baad ek dusra jaanwar jabaah karna padega.
  8.     Chhuri( knife) khoob tez honi chahiye(muslim).
  9.     Qurbani ke janwar ko letane se pehle chhuri taiz karle aur letane ke bad taiz karna makruh hai.
  10.     Daant wa nakhun ko chhodkar har khoon baha dene waali cheez se jaanwar zabaah kiya ja sakta hai.
  11.     Qurbani karne waale ko apne haath se jaanwar zabaah karna afzal hai (bukhari).
  12.     Qurbani waale jaanwar ke pahlu par jabaah ke waqt pair rakhna masnoon hai.
  13.     Bismillah wallahu akbar padhkar jaanwar jabaah kiya jaayega (bukhari).
  14.     Eidgaah me qurbani karna sunnat hai (bukhari).
  15.     kasaai ko khaal ya ghost mazdoori ke taur par dena mana hai (muslim).
  16.     Jaanwar ko qibla ki taraf karke zibaah karna mustahab hai.
  17.     Qurbani ka ghost ghareebon aur miskeeno ko sadqa kiya ja sakta hai aur khud bhi khaaya ja sakta hai (surah hajj).
  18.     Ghost ko barabar 3 hisson me baatna zaroori nahi hai kyonki shariat ne iski pabandi nahi lagaayi balki iske ulat nabi(sws) ne jee bhar khaane ki ijazat di hai (tirmizi) lekin yah zehan me rahe ki is hadith me jahan khaane ka bayan hai wahan khilaane ka bhi zikr hai, isliye itna na khaaya jaaye ki hadith ke agle huqm khilaao par amal na ho sake.
  19.     Agar koi ghost ka kuch hissa jama karna chaahe to sharai eitbaar se iski ijaazat hai.
  20.     Qurbani me bakri ki umer 1 sal hai agar us se kam hai to qurbani nahi hogi, qurbani ke janwar me thoda aeb hai to qurbani ho jayegi magar makruh hogi aur ziyada aeb hai to qurbani hogi hi nahi
  21.     Huzur ne kan kate huye aur sing tute huye ki qurbani se mana farmaya.
  22.     karzdaar shakhs qurbani kar sakta hai kyonki aisi koi daleel nahi jo use qurbani karne se rokti ho.
  23.     Eid ke liye khareede hue oont me bhi shirkat ho sakti hai, oont me 10 log shareek ho sakte hain.
  24.     hajj ke liye jo oont khareedi gayi hai usme zyada se zyada 7,7 afraad sharik ho sakte hain(muslim).
  25.     qurbani karne waale afraad Zilhajj ka chand nazar aane se lekar qurbani karne tak baal aur naakhun nahi kaat sakte.
  26.     Zabah karne wala “bismillah” jan bujkar na padhe to janwar haram aur murda ho jayega
  27.     zabah karne wala bismillah padhna na bhule.
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)