Islamic Blog

Hazrat Abdullah bin Harish bayan karte hain ki ek din Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu anhu ne jab barish ki wajah se keechard ho rahi thi to apne khutba sunaya or fir muazzin ko hukm diya ki *Hayya Al Salah* par pohocho to pukar do ki Namaz apni qayamgahon (gharon) me padh lo.

*Log ek dosre ko hairat se dekhne lage, jaise ki unhone najaiz samjha.*

Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu anhu ne farmaya ki aisa maloom hota hai ki tumne shayad isko bura jana.

Apne farmaya ki aisa to mujhse behtar zaat yani *Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam* ne bhi kiya tha.

Beshak Juma wajib hai magar meyne ye pasand nahi kiya ki tumhe gharon se bahar nikalun ( or takleef me mubtala karun).

Albatta unhone kaha ki mujhey Accha maloom nahi hua ki mey tumhe gunahgar karun or tum is halat me ao ki tum mitti me ghutne tak Aluda ho gaey ho.

Sahih Bukhari Baab 41 Hadith No 668

*FAIDAH*

Mere azizon aj duniya ke halat or is alimi bimari se nijat paene ka tareeqa yahi hai ki hum apne gharon me rahen.

Upar ki hadith se bhi sabit hota hai ki shariyat ne har tarah ki asani di hai.

Jab jaan ko khatra hai or sara Alam is baat pe mutaffiq hai ki gharon me reh kar hum khud ko or insaniyat ko bacha sakte hain to isko mazbooti se maan len.

Allah hame samjhne ki taufeeq de Or is bala se humko, hamare ghar walon ko, hamare azizon ko, hamare shehar ko, hamare sube ko, hamare mulk ko, muslim mumalikon ko or duniya ke sare insano ko mehfooz rakkhey. Jo isko girift me aa gaey hain Ae Allah ap unko sehat den. Ameen ya Rabull alameen.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)