Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Ek Martaba Hazrat Usmaan Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ne Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Zyafat Ki Aur Arz Kiya, Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM) Mere Garib-Khane Per Apne Doston Samet Tashrif Layen Aur Jo Haazir Ho Use Tanawul Farmayen!

Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Yeh Dawat Kabul Farma Li! Waqt Per Huzoor Sahaba-A-Kiraam Ke Sath Hazrat Usmaan Ke Ghar Tashrif Le Chale! Hazrat Usmaan Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Huzoor Ke Piche-Piche Chalne Lage! Huzoor Ka Ek-Ek Kadam-A-Mubarak Jo Unke Ghar Ki Taraf Chalte Hue Pad Raha Tha, Ginne Lage! Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Pucha, Aye Usmaan! Mere Kadam Kyon Gin Rahe Ho? Hazrat Usmaan Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Mere Maa-Baap Aap Per Qurbaan Ho, Main Chahta Hoon Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Ek-Ek Kadam Ke Badle Main Aapki Taazim Wa Taukeer Ki Khatir Ek-Ek Ghulam Aazaad Karoon!

Chunanche, Hazrat Usmaan Ke Ghar Tak Huzoor Ke Jis Qadr Kadam Pade Usi Qadr Ghulam Hazrat Usmaan Ne Aazaad Kiye!

(Jaami-Ul-Moajizaat Pg-65)

************************
SABAK:
********
Hazrat Usmaan Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Bade Gani Aur Bade Hi Sakhi Aur Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Sacche Muhib (Mohabbat Karne Wale) Aur Taalib The!
************************

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm