Islamic Blog

HIQAYAT:-
************
Hazrat Umar Ibne Abdul Aziz Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ki Biwi Fatima Bint-A-Abdul Malik Ke Paas Ek Besh-Kimti Moti Tha, Jo Unke Waalid Abdul Malik Ne Unko Diya Tha!
Ek Roz Hazrat Umar Ibne Abdul Aziz Rehmatullah Ta’aala Alaihi Ne Apni Biwi Se Kaha Ki Tum Apna Zevar Ya To Baitul-Maal May De Do Ya Mujhe Na-Pasand Karo, Taaki Main Tumeh Alheda (Akela,Alag) Kerdu! Aapki Zauja (Biwi) Mohtaram Ne Jawab Diya Ki Main Aapko Tarji Deti Hoon! Aap Mera Tamaam Zevar Baitul-Maal May Dakhil Kerdijiye!
Chunanche, Aapne Apna Tamaam Zevar Baitul-Maal May Jama Kerdiya! Jab Aapka Intekaal Hogaya Aur Yazeedh Ibne Abdul Malik Takht Per Baitha To Usne Kaha Ki Saara Zevar Baitul-Maal Se Wapas De Diya Jaye! Aapne Jawab Diya Ki Jo Chiz Main Apni Khushi Se Unki Hayaat May De Chuki Hoon! Wo Unke Intekaal Ke Baad Bhi Wapas Na Lungi!

(Taarikhul-Khulfa, Pg-122)

*********************************
SABAK:-
*********
Khuda-Taras Haaqim Duniyawi Maal Se Kabhi Mohabbat Nahi Karte! Wo Har Haal May Apni Riyaya Ke Faide Ko Malhuz Rakhte Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Jo Log Baitul-Maal Ke Maal Ko “Ghar Ka Maal” Samajhte Hain, Wo Bade Hi Na-Aaqibat Andesh Hain!

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm