Islamic Blog

“Jab Allah ki taraf se Fatima(r.a) ka rishta aaya Hazrat Ali(r.a) ke liye to Hamare Nabi(sallallahu alahi wassallam) ne Fatim(r.a) se poochh kar logo ko masjid mein jama kiya.
.
Fir logo ko batakar masjid mein nikah ka khutba padha.
.
Fir Hazrat Ali(r.a) se poochha: Main ne 400 misqal chandi ke mehar par Fatim ko tere nikah mein diya. Kya tujhe qabool hai?
.
Hazrat Ali ne kaha: “Basaro chashm” yani qabool hai.
.
Fir sabne milkar duaa-e-khairo barkat mangi aur ek tabaq khajoore logon par luta di gayi. Ek riwayat mein hai ki is mauqe par logo ko shehad ka sharbat aur khajoor bate gaye aur ek riwayat mein hai ki is mauqe par chhuhare bate gaye.”
.
[Hawala: Harzart Fatima(razi Allah) ke 100 qisse safa 55-56,

.
.
Na koi barat na ladki walo ki taraf se koi baratiyon ki dawat na hi koi dahez
.
Ye hai Sunnat tareeqa beti ke shadi ka.
.
In Sha Allah ham bhi isi tarah Masjid mein bina barat, dawat, aur dahez ke shadi karenge, aur apni betiyon ki shad bhi isi tarah karenge…
.
Kaise na layaq musalman hai ham Allah ke hukm aur Uske Rasool Habeeb sallallahu alaihi wassallam ki sunnat chhodkar kafiron ki sunnat apna kar khush hote hai fakhar karte hai afsos bhi naheen hota.
.
Allah hi reham kare ham jaise musalmanon ke sath jo ho raha hai kam hi hai.
.
Allah hi reham kare maaf kare hidayat de deen ki samajh de sahi baat hamare dilon mein daal de.
.
Aameen
Ya Allah…

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm