Islamic Blog

HIQAYAT:-
*********
Sultan Malik Shah Saljuki Ek Martaba Isfahaan Ke Jangalon May Shikaar Khel Raha Tha! Ittefaqan Usi Dauraan Ek Gaon May Uska Kayaam Hua! Shahi Gulamon Ne Ek Gai Dekhi Aur Lawaris Samajhker Zabah. Karke Kha Gaye! Wo Gai Ek Garib Bewa Ki Thi, Jiske 3 Chote-Chote Bacche Us Gai Ke Dudh Se Parwarish Pa Rahe The! Jab Bewa Ko Is Baat Ka Pata Chala To Wo Subah Savere Hi Jafdh Rudh Ke Pool Per, Jo Isfahaan Ke Karib Hain, Aa Khadi Hui! Itne May Sultan Ki Sawari Ka Juloos Us Pool Per Se Gujra! Budiya Be-Khaufi Se Sultan Ki Sawari Ke Paas Pahuchi Aur Nihayat Be-Baaki Se Apni Dastaan Sunane Lagi!
O Alp Arsalaan Ke Farzandh! Tu Mera Insaaf Yahan Jafdh Rudh Ke Pool Per Karega Ya Qayamat Ke Pulsiraat Per? Jo Jagah Pasand Ho Ikhtiyar Kerlen! Khuda-Taras Sultan Bewa Ki Fariyaad Se Kaanp Utha Aur Be-Ikhtiyar Ghode Se Uter Pada Aur Bola-
Badi Bi! Mujhe Pulsiraat Ki Taab Nahi! Main Tumahra Insaaf Karne Keliye Is Pool Per Taiyyar Hoon! Karib Aaker Apna Haal Bayaan Karo!
Bewa Aage Badi Aur Apni Saari Dastaan Keh Daali! Sultan Sab Haal Sunker Bola, Main Tumahri Gai Ke Badle 70 Gai Dene Ke Liye Taiyyar Hoon Agar Tum Raazi Hojao!
Bewa Aurat Ko Aur Kya Chahiye Tha! Usne Fauran Razamandi Jaahir Ki Aur Sultan Use Har Tarah Khush Karke Rawana Hua!

(Tarikh-A-Islam Pg-134)

*********************************
SABAK:-
********
Qayamat Ke Roz Ki Saza Se Darte Rehna Chahiye, Wahan Har Baat Ka Jawab Dena Padega! Wo Log Bade Hi Aakabat-Andesh Aur Dana Hain Jo Qayamat Ki Baaz-Purs Se Bachne Keliye Yahin Intezaam Kerlete Hain! Mazlumon Ki Dadar-Pursi Karke Apni Aakabat (Aakhirat) Acchi Kerlete Hain! Yeh Bhi Malum Hua Ki Nek Dil Haakim Kisi Per Zulm Wa Sitam Nahi Hone Dete!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm