Islamic Blog

Bewqoof aurat Apne husband ko apna Ghulam banati hai aur khud Ghulam ki Biwi ban jati hai..
Jab ke aqalmiand aurat apne husband ko Badshah banati hai aur khud Badshah ki Mallika banjati hai..
~ hazrat ALI (r.a.)
__________________________________
Zindagi ke har mod par sulaah karna seekho. Kyun ke jhukta wohi hai jis me jaan hoti hai. Akadna to murday ki pehchaan hoti hai…
Hazrat ALI (r.a.)
__________________________________
Dua mangte raho kyun ke mumkin aur na mumkin to sirf hamari soch me hai, ALLAH ke liye to kuch bhi na mumkin nahi…
Hazrat ALI (r.a.)
__________________________________
Apni ghaltiyon se taqdeer ko badnaam mat karo kyun ki taqdeer to khud himmat ki mohtaaj hoti hai…
Hazarat ALI (r.a.)
__________________________________
Dua dastak ki tarah hai musalsal dastak say darwaza khul hi jata hai…
Hazarat ALI (r.a.)
_______________________________
Jo tumhe khushi mein yaad aaye, samjho tum us se mohabbat karte ho aur jo tumhe gham me yaad aaye to samjho woh tum se mohabbat karta hai…
Hazarat ALI (r.a.)
__________________________________
Rishton ki khoobsurti ek dosre ki baat ko bardasht karna hai..be aib insaan talash mat karo warna akele reh jaoge…
Hazarat ALI (r.a.)
__________________________________
Agar tum use na pa sako jise tum chahte ho, to usay zaroor pa lena jo tumhe chahta hai kyun ki chahne se chaahe jane ka ehsas zyada khoobsurat hota hai…
Hazrat ALI (r.a.)
________________________________________
Agar qismat ka likha sab kuch hota to ALLAH insaan ko dua maangna kabhi na sikhata….
Hazarat Ali ( r.a. )

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm