Islamic Blog

Jinnato ka is duniya mein hona quran aur hadees se saabit hai. Allah ne duniya mein insano ke saath-saath ‘jinnato’ ko bhi apni ibadat ke liye banaya hai. Insan ko mitti se aur ‘jinnat’ ko aag se. Insan aur jinnat mein fark itna hai ki jinnat jo chahe roop badal sakta hai, aur insan jinnat ko nahi dekh sakta, jab tak ki jinnat khud ko dikhana na chahe. Inke saare tarike bhi insano jese hi hote hain, yaani shadi-byah, study, business, ladai sab hota. Jis tarah insano mein acche aur bure log hote hain, jinnato mein bhi hote hain, inme bhi hindu, muslim, sikh, isai yaani sab dharmo ko maanne wale hote hain, acche jinnat insano ko pareshan nahi karte jab tak ki insan unko jaan bhuj kar ya galti se pareshan na kar de. Kuch shararti (kharab) jinnat insano ko pareshan karte hain, unke badan mein aa jaate hain, ya indirect pareshan karte hain. Kai baar yeh bager kisi wajah ke sirf maze ke liye insano ko pareshan karte hain aur kai baar humse anjaane mein aisi koi galti ho jaati hai jisse yeh naraz ho jaate hain aur humko pareshan karte hain.
Shaitan bhi jinnato mein se hi hai, farishto mein se nahi, Duniya mein insano se pehle is duniya mein jinnat hi the, lekin unhone yaha khub khun-kharaba kiya, isliye Allah ne farishto ko inko khatam karne bheja, Jab farishto ne sab ko khatam kar diya (bhaga diya) to Iblis naam ka jinn ka ek chhota sa baccha dikha, is par farishto ne Allah se kaha ki Allah yeh to chhota sa baccha hai, abhi kuch samajhta bhi nahi, isliye hum isko nahi khatam karte, Allah ne kaha thik hai, aur farishte usko aasman par le gaye, jo aage chalkar shaitan bana, kharab jinnat isi ke chele rahte hain.
Lekin insan ko Allah ne sabse bada aur taakatwar (ashraful makhlukaat) banaya hai, Islam mein kuch aisi baate batai gai hai, agar in par amal kiya jaaye to koi bhi cheez insan ko nuksan nahi pahucha sakti.
In cheezo se bachkar jinnato se bacha ja sakta hai.
(1) Hamesha paak-saaf rahe, yaani jab bhi gusl ki zarurat ho foran gusl kar le, kyonki naapak insan par jinnat bahut jaldi haawi ho jaata hai.
(2) Aurat khushbu laga kar ya baal khulle rakh kar ya be-parda bahar na nikle kyonki aurat ko aisa dekh kar jinnat bahut jaldi piche lagta hai. Aur aadmi se zyada aurato par lagta hai. Kyonki jis tarah ek aadmi aurat par aashik ho jata hai wese hi jinnat bhi ho jata hai, aur kai jinnat to ladkiyo ke saath galat harkat bhi kar dete hain.
(3) Baccho aur jaanwaro ko maghir ke time (jab suraj dubne wala rahta hai) us time ghar ke andar le le.
(4) Kabhi bhi toilet ko jaae to yeh dua padhe (alla humma inni aauzu bika minal khubusi wal khabais) kyonki gande jinnat gandi jagah par hi rahte hain
(5) Toilet mein hamesha ulta pair andar rakh khar jaae
(6) Jab toilet se bahar nikle to seedhe pair pahle bahar nikale phir Kahe (gufra naka, alhamdu lilla hil lazi azhab annil aza wa afani)
(7) Ghar ke bahar khule mein kabhi bhi peshab kare to kisi jhaad (tree) ki jad (route) mein na kare, sukhe patto par na kare, kisi bil mein na kare, dhalan wali jagah par na kare, gobar, kando ya haddiyo par peshab na kare. Aur peshab karne se pehle yeh 3 baar kahde ki ‘koi bhi sahab ho hat jaaye, mein peshab kar raha hu’, phir peshab kare, kyonki jinnat humko dikhte nahi, ho sakta hai galti se hum un par hi peshab kar de, ya unko chhite ud jaaye, isliye peshab hamesha beth kar kare. (sukhe patte, haddi, gobar jinnato ka khana hota hai, isliye in par peshab karne se bachne ko kaha gaya hai, jhad ke neeche aur bil par isliye kaha gaya hai ki yaha inki rihaish ho sakti hai.
(8) Kabhi bhi der raat ko safar kare ya kahi sun saan ilaake mein ho to Alhamdu sharif, Alif Laam Meem, Ayatal Kursi aur Charo Qul padh kar apne par dam kar le aur apne chaaro taraf isaar khich le.
(9) Roz raat ko sone se phele bhi Alhamdu sharif, Alif Laam Meem, Ayatal Kursi aur Charo Qul padh kar apne par dam kar le aur apne chaaro taraf isaar khich le.
(10) Zyada se zyada time wuzu bana kar rahe aur sote time bhi wuzu kar le.
(11) Jab bhi biwi ke saath sohbat (sex) kare to yeh dua padh le (Alla humma jannib nash shay taana wa jann bish shaytaana ma razak tani nasiba). Agar is dua ko na padha gaya to ho sakta hai ki koi jinnat aapke sath aapki biwi se sohbat kar le aur aapko pata bhi na chale.
(12) Khidkiyo se bahar na thuke balki basin mein ya thukne ki jagah hi tuke, gandi cheeze ghar se uchaal kar bahar na feke, balki kude daan mein hi daale (kyonki jinnat humko nahi dikhte, ho sakta hai galti se hum un par hi gandagi phek de)
In baato ke alawa aur bhi tarike ho sakte hain jisse hum jinnato se bach sakte hain, lekin phir bhi agar kisi ko koi jinn lag jata hai to, ya to wo direct badan mein hi aane lagta hai ya indirect roop se pareshan karta hai. Iske liye kisi acche ‘aalim’ ki madad le. Aalim mein yeh khubi dekhe ki wo sirf quran ki ayat ya islam ke tarike se hi ilaj karta ho. Kisi oghadi (aghori), ya jadu karne wale ke pass na le jaaye, kyonki aisa karne se Islam se bahar ho jaane ka khatra hai. Aur aise log bade shaitan ki madad lekar chhote shaitan (jinn) ko nikalte hain, isliye inse bache. Aajkal dhongi (Jhute) baba bhi bahut ho gaye hain, jo paiso ke liye logo ko bewakuf banane hain, isliye apne jaane-pehchane aalim se hi ilaj karwaiye aur dusre logo se uska feedback lijiye ki yeh kese aalim hain.
Kai acche jinnat, kisi insan ke badan mein aakar dusre insano ki madad karte hain aur jadu aur dusre jinnato se bachate hain, hum inse islam ki boundary mein rah kar ilaj karwa sakte hain, lekin inke liye zarurat se zyada izzat dil mein na bithae, na hi yeh bharosa kare ki kisi jinnat ya insan ne aapka kaam kar diya, balki hakikat to yeh hoti hai ki Allah hamari madad karta hai aur zariya jisko chahta hai bana deta hai. Aur yeh bhi quran ke zariye se hi ilaj karte hain.
Lekin har jinnat accha nahi hota, kuch logo ko yeh pata bhi lag jata hai ki hamari ladki, bahan ya kisi ke badan mein jinnat aata hai, lekin dar ke maare ilaj nahi karate, ya yeh sochte hain ki jinnat naraz ho jaayega, ya yeh sochte hain ki jinnat hamari paisa (money) se madad karega ya humko khajana bata dega. Aisa kuch bhi nahi hota hai, jinnat insan ki is tarah ki madad nahi kar sakta. Aur jesa ki mene upar bataya ki jinnat, insan ki aurato ke shokin bhi hote hain aur wo sex bhi kar sakte hain, isliye jitni jaldi ho sake unko badan se bahar nikale ke liye ilaj karwana chahiye. Kharab jinnat badan mein aane ke baad jhut bhi bahut bolte hain aur khandan mein ladwane wali baat karte hain ki mujhe tumhari khala (mausi) ne bheja hai, ya tumhare chacha ne bheja hai, isliye aisi baato par bharosa na kare.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm