Islamic Blog

is kissa me jo hadis ham bayan karenge usme aurto ke liye bahot hi pyara or azim dars ( achcha sabak ) he.
wo ye ke ek nek or saleh aurat apne khawind ka istikbal kese karti he.
chunanche ye baat sab ko malum he ke khawind jab apni duty se ghar vapas aata he.
ek to wo kaam ki wajah se thaka manda hota he.
dusra wo awam or gadiyo ki bheed se aahista aahista nikal kar ghar aate aate mazid thaka naka shikar ho jata he.
duty se farig ho kar apne ghar ki mamlikat me aaram v rahat or sukun ke husul ke alalva apne biwi bachcho me sa’aadat ki gadiya guzarne or unse dil behlane ke liye aata he.
to thaki mandi is halat me na malum uski begam uska istikbal kese karti he.?
baaz biwiyo ka ye haal he ke uska khawind duty se jab thaka manda ghar vapas aata he to begam sahiba ghar me hi mojud nahi hoti.
ya to us vajah se ke biwi sahiba bhi duniya ki dhun or kamai ke lalach me kisi ke yahan nokri chakri ke fande me giraftar he or duty par gai huvi he.
or ya is vajah se apne ghar se gayib he ke wo kisi hamsa’e ( pados) , rishtedar ya saheli ke ghar gai huvi he.

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Ref↴
📚 *AAWAZE DIL.69*
✍🏻 Dawood ℳawLi

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm