Islamic Blog

Hamare ek buzurg suna rahe the ke ek sahab apni biwi ki riaayat bahot karte the or vakai biwi ki riaayat karni bhi chahiye,

Khwah wo fohad ho ya bad tamiz ,
Kyun ke usne tumhare vaste apni maa ko choda, baap ko choda , sare kunba ko choda.

Ab uski nazar sirf tumhare upar he.
Jo kuch he uske liye ek shohar ka dam he.

Bas insaniyat ki baat yahi he ke ese vafadar ko kisi qism ki taklif na di jaye.

Or jo kuch usse bad tamizi , be adabi Ho jaye usko naaz samza jaye.
Kyun ke unko akal kam he,
Tamiz nahi he.
Unko bat karne ka salika nahi he.

is liye baat karne ka tarika esa ho jata he jisse mardo ko taklif pahonchti he.

Magar us bad tamizi ki hakikat naaz he , aakhir wo tumhare siva kis par naaz karne jaye,
Duniya me ek tumhi uske kharidar ho.


*Hawala*

*Aawaze dil.42*

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)