Islamic Blog

HIQAYAT
**********
Ek Roz Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-LAIHI-WASALLAM Ki Goadh May Tashrif Farma The! Hazrat Umme Fazl Bhi Paas Baithi Thi! Umme Fazl Ne Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Taraf Dekha Ki Aapki Dono Chashm-A-Mubarak Se Aansu Beh Rahe The! Umme Fazl Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM) Yeh Aansu Kaise Hain? To Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, Ki Zibrayil Ne Mujhe Khaber Di Hain Ki Mere Is Bacche Ko Meri Ummat Qatl Kerdegi! Zibrayil Ne Mujhe Us Sar-Zameen Ki Jahan Yeh Baccha Shaheed Hoga Surkh Mitti Laker Di Hain! Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Is Mitti Ko Soongha Aur Farmaya, Is Mitti Se Mujhe Boo-A-Qarbala Aati Hain, Fir Wo Mitti Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Ummul Mominin Hazrat Umme Salma Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ko De Di Aur Farmaya, Umme Salma Is Mitti Ko Apne Paas Rakho, Jab Yeh Mitti Khoon Banjaye To Samajh Lena Mera Beta Shaheed Hogaya! Hazrat Umme Salma Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Ne Us Mitti Ko Ek Shishi May Bandh Kerliya! Fir Jis Din Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Qarbala May Shaheed Hue Usi Din Yeh Mitti Bandh Shishi May Khoon Bangayi!

(Mishkaat Sharif Pg-564, Hujjatul Alal-Aalamin Pg-477)

************************
SABAK
*******
Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ko Apne Lakhte Jigar Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ki Shahadat Ka Ilm Tha! Us Sar-Zameen Ka Bhi Jahan Yeh Wakiya Hona Tha! Us Sar-Zameen Ka Naam Bhi Malum Tha! Aapse Koi Baat Chupi Nahi Thi! Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ko Yeh Bhi Ilm Tha Ki Hazrat Umme Salma Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ki Shahadat Ke Baad Tak Zinda Rahegi! Jabhi To Aapne Hazrat Umme Salma Ko Farmaya, Is Mitti Ko Apne Paas Rakho! Jab Yeh Khoon Banjaye To Samajh Lena Ki Mera Beta Shaheed Hogaya! Ba-Wajudh Iske Fir Bhi Agar Koi Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Ilm-A-Gaib May Shak Kare To Gaur Kar Lijiye Ki Wo Kis-Qadr Jaahil Hain!
************************

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)