Islam me puri tarah dakhil kaise ho!! tou ye ki shari’at ke tamam ehkamo par amal kare, istet’at hai woh amal bhi kare jiske liye tandurast hona, maaldar hona wagairah jaise sadaqa, khairat, hajj wa zakat…
aur un kaamo se bachna jho na-jaiz ho, haram ho, kisi ko taklif deh ho, ALLAH aur uske RASOOL ka na-pasand ho. jaisa ki geebat, chugli, ladai, fasaad, fitna, nashakhori, jua, zina, qatlo gharat, jhoot bolna, gane bajana, music sunna wagairah.
AEY IMAN WALO ISLAM ME PURE DAKHIL HO JAO AUR SHAITAN K KADMO PE NA CHALO, BESHAK WOH TUMHARA KHULA DUSHMAN HAI.
[Al Bakrah, aayat no. 208]
jhoot bolna bhi ek bahot badi bala hai, ek jhoot agar koi bolta hai tou uske piche us ek jhoot ko chupan kai 100 bolne padte hai. maslan ki aap jis company me kaam karte hai, waha aap ke boss ne phone karke pucha ki tum kaha ho!! aur aap ko pata hai ki agar me ye kahu ki me tou site ya workshop me hu tou woh dusre kaam pakda dega, aur agar ye kahe ki mein tou abhi head office gaya hu tou woh kaam nahi dega. magar uke kuch der baad boss aap ko phir phone karega ki agar tum head office gaye ho tou waha pe fala files hai aur fala manager se kuch papers le kar aajao. ab fasenge ki aap tou workshop ya site par hai, aur woh paper kaise la sakenge!!!
ye tou jhoot bolne ka dunyawi nuksan hai, aur is se bhi kai zyada nuksan uthane padte hai. iske alawa akhirat me milne wali saza ya ALLAH ki lana’at ka zikr karte chale.
Jab Banda Jhuth Bolta Hy To Uski Badbu Se Firishta Ek Mil Door Ho Jaata Hai
[Tirmizi Sharif, Jild-3, Page No-392, Hadees 1979]
ALLAH ki la’anat bhi ek bahot bada ghazab hai, insan ko chahiye ki is shaitani fe’al se hamesha bachke rahe. jhoot bolne ki ijazat jab khud ki jaan par aapadi ho tab aur kisi ko agar bachana chahte, aur jhoot bolne se uski jaan bach jayegi tou tab ijazat hai ki jhoot bole.
TOU JHOOTO PAR ALLAH KI LA’ANAT DALEIN
[SURA E AL IMRAN, AAYAT NO. 61]
jhoot bolne ka nasrani tyohaar aaj hamare bich me hai, aaj ke din akhbar aur media se lekar TV ki news channle sab ne is jhoote tyohar ko manaya hai!!
is yahoodi aur western culture ko musalmano ko chahiye ki boycott kare aur aise gairo ke tyoharo ka hargiz hissa na bane.
Aur jho ISLAM k siwa koi deen chahega woh hargiz us se kubool na kiya jayega. Aur woh akhirat me ziyakaron (nuksani me) se hai.
[Al Imran, Surah 3, Ayaah 85 – Tarjama: Kanzool Imaan]
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021