Islamic Blog

Sundar->(beautiful )dikhne ke saath jaruri hai tez dimag. Aajkal ki busy life me logo ko dimag ka concentration badana bahut jaruri hai. To aaiye aaj hum batate hai Brain Food jo aapke dimag ki working capacity ko badata hai.

Dekha gaya hai ki, tez dimag usi ke pas hota hai, jo sahi aahar leta hai, saath hi apni life style ko acche se jita hai. Vese to humari life me bahut sari baate aur tensions hote hai, jo aapka dimag kharab karte hai.

Roj ke tension ke karan hum chhoti- chhoti baate bhul jate hai. Kya aapke saath bhi aisa hua hai ki aap bahut jaruri baat bhul gaye hai aur yaad aane par lagta hai ki hum itni jaruri baat kese bhule. Lekin ghabraye na, bas sahi aahar lekar aap tez dimag pa sakte hai

Apne aahar me phal, sabji, non-veg bhojan shamil kare. Sahi samay par bhojan kare saath hi santulit aahar le, jisse aapka brain sharp hoga.

Brain Food: Dimag Ko Sharp Karne Ke Tarike
Walnut (Akharota)

Agar aap roj ek mutthi akharota khaye to aapka Brain 19 % tak bad jayga. Kyuki yeh aapke dimag ki naso ko kholta hai. Aur aapke sochne ki shamta ko badata hai.

Tea (Chai)

Chai me paye jane vale polyphenols dimag ko santulit rakhne me help karte hai. Saath hi aapko shaant ho kar sochne ki shakti dete hai. Aaj kal bazar me kai tarah ki chai mojud hai jinka use karke aap apna dimag tez kar sakte hai

Blue Berry

Ye ek sundar sa phal hai , jiske andar bahut sare anti-oxidants hote hai. Yeh ek best Brain Food hota hai

Fish

Machli ko khas taur par brain food bhi kaha jata hai, kyuki iske tel me Omega 3 fatty acids paya jata hai, jo dimag ke liye bahut faydemand hota hai. Fish oil ko aap dusre kisi bhi padarth se tulna nahi kar sakte hai, kyuki isme paye jane vale poshak tatva javan banana ke saath aapka dimag bhi tez karte hai.

Spinach (paalak)

Isme bahut sare magnesium paye jate hai, jiske sevan se khun dimag se lekar pure sharir me dourta hai.

Olive Oil

Olive oil me fatty acids and polifinol hota hai, jo joudo aur dimag ki sujan ko kam karke brain ka power badata hai.

Linseed seeds (Alasi ke beej)

Isme bahut sare proteins aur fibers hote hai. Iske khane se dimag tez hota hai. Ise aap dahi me bhi dal kar iska sevan kar sakte hai

Oyster (Sipa)

Iske khane se vitamin B12 milta hai, jisse dimag hamesha chokanna rahta hai.

Chocolate

Dudh ke mukable chocolate dimag tak khun ke dour ko tezi se pahuchata hai.

Dahi (Curd)

Dahi me amino acid paya jata hai, jisse aapke dimag se tanav dur hota hai aur dimag ka power badta hai.

Uppar humne Brain Food ke bare me bataya hai. To aap bhi in foods ko khaye jisse aapka dimag tez hoga aur aap strong feel karege

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm