Islamic Blog

HIQAYAT:-
************
Ek Haakim Jiska Naam Bin Umru Lais Tha, Bimaar Pad Gaya! Aisa Bimaar Hua Ki Tabib (Doctor) Uske Ilaaj Se Thak Gaye Magar Wo Accha Na Hosaka! Aakhir Kisine Kaha Ki Dawa Ki To Inteha Hogayi! Ab Kisi Mustajabudh-Dawaat (Jiski Dua Kabul Hoti Ho) Se Dua Karayi Jaye!
Chunanche, Sabne Hazrat Sahal Rehmatullah Alaihi Ka Naam Liya Ki Wo Bade Bujurg Aur ALLAH Ke Wali Hain! Unse Dua Ki Darkhwast Ki Jaye!
Chunanche, Aapko Bulaya Gaya! Aap ALLAH Ke Farmaan (Aur Ita-at Karo Apne Baadshah Ki) Ke Mutabik Tashrif Legaye! Jab Mariz Ke Paas Baithe, Usse Farmaya Ki Dua Aise Shaks Ke Haq May Kabul Hoti Hain Jo Sacche Dil Se Tauba Karen! Khuda Ki Janib Ruju Kare Aur Aye Umru! Tere Qaid-Khane May Bahoatse Be-Gunah Qaidi Bhi Hain! Pehle Un Sab Qaidi Ko Riha Ker Aur Tauba Ker! Fir Main Dua Karta Hoon! Umru Ibne Lais Ne Aisa Hi Kiya! Qaidiyon Ki Rihayi Ka Hukm Diya Aur Tauba Ki! Fir Hazrat Sahal Ne Hath Uthaya Aur Kaha:
Aye Khudawandh! Tune Apni Nafarmani Ki Zillat Isko Dikhayi! Isi Tarah Apni Ita-at Ki Izzat Bhi Isko Dikhla De Aur Jis Tarah Ki Tune Iske Baatin Ko Libaas-A-Tauba Pehnaya! Usi Tarah Iske Jaahir Ko Libaas-A-Aafiyat Bhi Pehna De!
Aap Yeh Dua Ker Hi Rahe The Ki Umru Ibne Lais Bilkul Accha Hogaya! Umru Ibne Lais Ne Aapko Bahoatsa Maal Nazar Dene Laga Magar Aapne Inkaar Kerdiya!

(Tazkiratul Auliya, Pg-312)

*********************************
SABAK:-

*********
Jahan Dawa Ki Inteha Ho Wahan Dua Ki Ibtida Hoti Hain! Yeh Bhi Malum Hua Ki Bujurgon Ki Duaon Se Badal Jati Hain Takdiren!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Dua Ki Kabuliyat Keliye Jahan Dua Maangne Wala Mustajabudh-Dawaat Hona Chahiye Wahan Wo Shaks Jiske Liye Dua Ki Jaye Use Bhi Apne Gunahon Se Sacche Dilse Tauba Kerleni Chahiye! Jab Dono Taraf Se Yeh Pakizgi Aur Iffath Payi Jaye To Dua Bahoat Jald Suni Jayegi!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm