Islamic Blog

HIQAYAT:-
*********
Hazrat Haatim Asam Rehmatullah Ta’aala Alaihi Se Kisine Daryaft Kiya Ki Aap Namaz Kis Tarah Padhte Hain! Aapne Farmaya Ki Jab Namaz Ka Waqt Aata Hain To Main Jaahir Ka Wazu Karta Hoon Aur Baatin Ka Wazu Bhi
Karta Hoon! Wo Wazu Mera Is Tarah Hota Hain Ki Jaahiri Wazu Pani Se Karta Hoon Aur Baatini Wazu Tauba Ke Pani Se Karta Hoon! Fir Masjid May Dakhil Hota Hoon Aur Kaaba Sharif Ka Mushahida Karta Hoon! Makaam-A-Ibrahim Ko Dono Aabru Ke Darmiyan Rakhta Hoon Aur Bahisht Ko Apni Dahine Taraf Aur Dozak Ko Bayin Taraf! Pulsiraat Ko Apne Kadmo Ke Niche Rakhta Hoon! Malkul Maut Ko Pusht Ke Piche Khayal Karta Hoon Aur Dil Ko Khuda Ki Taraf Mutawajjah Karta Hoon Balki Usko Soap Deta Hoon! Us Waqt Badi Taazim Ke Sath Takbir Kehta Hoon! Badi Hurmat Ke Sath Kayaam Karta Hoon! Badi Haibat Wa Shaukat Ke Sath Kir-at Karta Hoon Aur Badi Azizi Ke Sath Ruku May Jata Hoon! Nihayat Azizi Ke sath Sazda Baja Lata Hoon! Bahoat Hi Hilm Wa Burdhbari Ke Sath Qaida May Bait-ta Hoon! Nihayat Sukr-Guzaari Ke Sath Salam Fherta Hoon! Main Is Tarah Namaz Padhta Hoon!

(Tazkiratul Auliya, Pg-302)

*********************************
SABAK:-
*******
ALLAH Walon Ki Namaz Wakayi Namaz Hoti Hain! Ek Hamari Namaz Bhi Hain Ki Hazaar Khamiyan Usme Payi Jati Hain! Fir Ek Shaks Jisne Saari Umr Namaz Padhi Hi Na Ho Wo Un ALLAH Walon Per Ehteraaz Kare To Wo Kis Qadr Na-Aakibat Andesh Hain!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm