» Bulbul (Nightingale) Ki Hikayat « :
Hazrat-e-Sulaiman (Alaihis Salam) Ke Zamane Me Ek Shakhs Ne Hazaar(1000) Dirham Me Ek Bulbul Khareedi Jo Khub Bolti Thi. Ek Din Uske Pinjre Par Tota (Parrot) Kuch Bol Kar Udd Gaya Aur Uss Bulbul Ne Bolna Chhod Diya. Uss Shakhs Ne Hazrat Ki Khidmat Me Hazir Hokar Ye Majra Bayan Kiya. Aap Sulaiman (Alaihis Salam) Ne Bulbul Ka Pinjra(Cage) Mangwa Kar Uss Se Khaamoshi Ka Sabab Pucha. Wo Boli Ki, “Mai Apne Watan, Aulaad Ko Yaad Kar Ke Roti Thi Aur Log Use Geet Samajhte The. Mujhe Tote Ne Samjhaya Ki Teri Be-Sabri Hi Iss Qaid Ka Ba’is (Reason) Hai. Agar Tu Sabr Kare Aur Khaamosh Ho Jaye To Chhut Jaye. Lihaza Ab Mai Kabhi Nahin Bolungi”.
Hazrat-e-Sulaiman (Alaihis Salam) Ne Uske(Bulbul Ke) Maalik Se Kaha Ki: Tu Uske Bolne Se Na-Ummid Ho Ja.
Wo Bola : Phir Mujhe Uske Paalne Ki Kya Zaroorat Hai? Main To Uski Awaaz Ka Aashiq Tha. Ye Keh Kar Usne Uss Bulbul Ko Aazad Kar Diya.
Bulbul Ye Kehti Hui Udd Gayi Ki, “Paak Hai Wo Jisne Mujhe Ande (Egg) Me Banaya, Hawa Me Udaaya, Pinjre Me Sabr Dekar Wahaan Se Chhudaya!”
Nasihat : Yahin Hamara Haal Hai, Jab Tak Be-Sabri Hai Tab Tak Hi Qaid, Aur Duniya Ki Khushi 1000 Museebaton Ka Pesh-e-Khaima Aur Yahaan Ki Na-Muraadi Wahaan Ki Kaamyaabi Hai.
Maulana Rumi (Rehmatullah Alaihi) Farmate Hain: (Tarjama) “Agar Tum Dana (Grain) Banoge Toh Parinde Chug Jayenge. Agar Phool Ki Tarah Hansoge Toh Bacche Tod Daalenge. Jitni Apne Me Khoobi Paida Karoge Utni Hi Musibate Tum Par Aayengi. Lihaza Bajaye Raahat Talab Karne Ke Yahaan Se Chhutne Aur Watan (Akhirat Ke Ghar) Chalne Ki Fikr Karo”.
-: (Tafseer-e-Roohul Bayan, Tafseer-e-Naeemi, Part 2), (Maut Ka Manzar: Az: Allama Abdur Razzaq Bhutraalwi)(Page No.97)
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021