Islamic Blog

» Hiqayat : Ek Din Hazrat Imaam Zain-ul-Aabidin (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Ghar Se Kahin Tashrif Le Ja Rahe The Ki Raaste Me Kisi Gustaakh Ne Aapko Bura Bhala Kehna Shuru Ker Diya! Hazrat Imaam Ne Usse Farmaya Ki Bhai Jo Kuch Tumne Mujhse Kaha Agar Mai Wakayi Aisa Hoon Toh Khuda Mujhe Muaf Farmaye!
Yeh Sunker Wo Shaks Bada Sharminda Hua Aur Badker Aapki Peshaani Chumker Kehne Laga, Huzoor! Jo Kuch Maine Kaha Aap Hargiz Aise Nahi Hain! Mai Hi Jhoota Hoon! Aap Meri Magfirat Ki Dua Farmayen! Aapne Farmaya Accha Jao Khuda Tumhe Muaf Farmaye!
-: (Rauzur-Riyaheen Pg-56)
» Sabak :- Allah Walo Ki Yeh Sirat Hain Ki Burayi Ka Badla Kuch Aise Tarike Se Dete Hain Ki Khatakaar Sharminda Hoker Apni Khata Se Kinara Ker Leta Hain Aur Neki Ikhtiyar Ker Leta Hain!

Safar Ke Douran Allah Ki Taraf Tawajjo Rakhe…..
» Hadees : Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Jo Shakhs Safar Ke Douran Allah Ki Taraf Tawajjo Rakhe Aur Uske Zikr Me Mashghool Rahe Allah Uske Liye Ek (1) Farishta Muhafiz (Ya’ani Hifazat Karne Wala) Muqarrar Kar Deta Hai Aur Jo Behooda Shair-O-Shairi Aur Fuzool Baton Me Masroof Rahe Toh Allah Uske Peechay Ek (1) Shaitan Laga Deta Hai”.
-: (Mo’ajamul Kabeer, Jild 17, Page-324, Hadees No–895)

Milaad-un-Nabi Par Khushiya Manane Ki Wajah ?…..
Nabi-e-Paak ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Wiladat Par Khushi Manane Ki Wajah Quraan Se !
2665 Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
» “Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Keh Dijiye Allah Ke Fazal Aur Rehmat Ke Husool Par Khushi Manao”.
-: (Surah Younus : Aayat-58)
» “Aur Hum Ne Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Tamam Jahano Ke Liye Rehmat Baana Kar Bheja”.
-: (Surah Anbiyaa : Aayat-107)

Sabse Bure Shaksh Shehnsha/Shahjahan Naam Wale…..
» Hadees : Abu Huraira (Radiallah Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“Qayamat Ke Din Allah Ta’ala Ko Sabse Zyada Ghussa Dilane Wala Aur Badtar (Extreamely Bad) Sakhs Wo Hai, Jiska Naam Shehnsha / Shahjahan Hoga”.
-: (Muslim Sharif, Book. 2, Pg No 208)
» Moral : Because There is no King but Allah, the Exalted and Glorious.

Allah Ta’ala Ke Qareeb Tar Aamal Kya Hain?……
» Hadees : Hazrat Samrah (Radi Allah Ta’ala Anha) Ne Farmaya Hum Darbaar-e-Nabuwat ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Me Haazir The Keh,
Ek Shaks Haazir Hua Aur Arz Kia, “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)!“Allah Ta’ala Ke Qareeb Tar Aamal Kya Hain?”
Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmaya, “Sach Bolna Aur Amanat Ka A’ada Karna”.
Arz Kiya Gaya, “Huzoor ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kuch Aur Irshad Farmaiye! ”
Aap Ne Farmaya, “Tahajjad Ki Namaz Aur Garmion Ke Roze”.
Phir Maine Arz Kia, “Huzoor ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kuch Aur Irshad Farmaiye”
Aap Ne Farmaya, “Zikr-e-Elahi Ki Kasrat Karna Aur Mujh Par Durood-e-Paak Parhna Tangdasti Ko Dur Karta Hai”.
Mai Ne Arz Kia, “Kuch Aur Irshaad Farmaiye”.
Aap Ne Farmaya, “Jo Kisi Quam Ka Imaam Bane Toh Halki Namaz Parhaye, Kyun Ki Muqtadion Me Burhay Bhi Hote Hai, Bimaar Bhi, Bacche Bhi Aur Kaam Kaaj Wale Bhi”.
-: (Al-Qawl Al-Bade’e, Pg 129)(Sa’adat Al-Daarain, Pg-714)

Jab Koi Banda Allah Ta’ala Ki Neymat Pe……
“Jab Koi Banda Allah Ta’ala Ki Neymat Pe“Alhamdulillah”Kehta Hai
Toh Allah Ta’ala Uss Ko Iss Se Afzal Neymat Ataa Farmata Hai”
-: (Ibn-e-Maja)

Khushiyon Me Apne Bhai Ko Bhi Sharik Kiya Kare….
» Hadees : Hazrat Anas (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Farmate Hai Ke, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya,
“Tum Me Se Koi Shakhs Emaanwala Na Hoga, Jab Tak Apne Bhai Ke Liye Wo Na Chahe Jo Apne Nafs Ke Liye Chahta Hai”.
-: (Sahih Bukhari, Kitab-Al-Emaan)
» Sabak : Apni Har Jayaz Khushiyon Me Apne Bhai Ko (Apno Ko) Bhi Sharik Kiya Kare, Ke Yeh Amal Allah Ke Karib Behad Pasandida Hai

Kisi Be-Qasoor Musalman Par Ilzam……
» Hadees : Huzoor ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Kisi Be-Qasoor Musalman Par Ilzam Lagana Aasman-O-Zameen Se Bhi Bhaari Gunaah Hai”.
-: (Bukhari V-1p-330)

Azan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Dua’en Radd Nahi……
» Hadees : Nabi-e-Rehmat (Sallallaho Alahi Wasallam) Ne Farmaya,
“Azan Aur Iqaamat Ke Darmiyan Dua’en Radd Nahi Hoti, Lihaza Dua Maanga Karo”.
-: (Bukhari Sharif)

Allah Ke Kuch Bande Aise Hai Jo Na Toh Nabi Hai Aur….
» Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
“Allah Ke Kuch Bande Aise Hai Jo Na Toh Nabi Hai Aur Na Hi Shaheed Lekin Qayamat Ke Din Allah Ki Taraf Se Unn Ko Milne Wale Rutbe Par Ambiya Aur Shohda Bhi Rashq Karenge,
Yeh Wo Log Hai Jo Bagair Kisi Rishte-Dari Aur Lain-Dain Ke Sirf Allah Ki Raza Ke Liye Ek Dusre Se Mohabbat Karenge, Unke Chehre Roshan Honge Aur Wo Noor Ke Mimbaron Par JalwaGaar Honge”
-: (Abu Dawood, Hadis # 3527, Page # 1485

Ek Din Me 70 Martaba Astagfar Ka Sawaab……
Jo Aadmi Ya Aurat Allah Ta’ala Se Ek Din Me
70 Martaba Astagfar Karta Hai,
Allah Ta’ala Uske 700 Gunah Maaf Farma Daeta Hai.
-: (Shabul Emaan : Jild-1, Page No-442)

Qur’an:
رَبَّنَا وَاجْعَلْنَا مُسْلِمَيْنِ لَكَ وَمِنْ ذُرِّيَّتِنَا أُمَّةً مُسْلِمَةً لَكَ وَأَرِنَا مَنَاسِكَنَا وَتُبْ عَلَيْنَا ۖ إِنَّكَ أَنْتَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ
Aye hamare Rabb! Hum dono ko apne hukm ke saamne jhukne wala bana Aur hamari aulado ko bhi aik ummate musalman khaas apne ta’abe farmaan bardaar bana, Aur hame hamari ibaadat ke qawaaid bata de aur hum par rahmat ki nazar farma, Beshak tu hi bahut tauba qubool farmane wala meharbaan hai.
[ 2 Surah Baqarah, Aayat 128 ]

Aameen Summa Aameen

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm