Islamic Blog

*_Hazrat Sultan Syed Makhdoom Ashraf Jahangir Samnani رحمة الله تعالى عليه Farmate Hai Ki Selan (Sri Lanka) Ke Safar Me Hum Aisi Jagah Aa Pade Ki 3 Din Tak Aage Jaane Ka Rasta Zaahir Na Hua Naa Hi Aise Aasar Nazar Aaye Safar Ke Sath Bhukh Aur Pyaas Se Tang Aagaye, Hum Ne Ek Darakht Ke Niche Qayam Kiya (Aaram Ke Liye Ruke) Sathiyo Ne Bhi Apna Saamane Safar Yahi Par Rakh Diya, Hum Thodi Der Bethe Honge Ki Be Qiyas (Achanak) Chintiya Bhagte Hue Aayi Aur Hazrat Ke Karib Beth Gayi Aur Ek Dusre Ko Ishara Karne Lagi Jisse Logo Ko Guman Paida Hua (Sochne Lage Ki) Ki (Chintiya) Aapas Me Baate Kar Rahi Hai Jab Ek Ghadi Isi Tarah Guzar Gayi To Wo Chintiya Ravana Ho Gayi,_*

1f4cc📌 *_Hazrat Makdoom Ashraf رحمة الله تعالى عليه Dastoor Ke Mutabik Dosto Ke Sath Tashrif Farma Hue, Karib Ek Pahar Guzarne Ke Ek Chinta (Chintiyo Ka Badshah) Aaya Aur Ishara Karne Laga Sab Log Uske Sath Ravana Hue Thoda Sa Rasta Tay Karne Ke Baad Ek Darakht Ke Niche Jahan Uska Bil Tha Wahan Sheerini Ke 40 Dher Lage Hue The Ek Dher Bada Tha Baaki Sab Ek Jaise Barabar The Har Shakhs Ko Har Sheerini Ke Dher Ke Aage Bitha Diya Hazrat Ne Khaane Ki Ijazat Di, Har Shakhs Ne Apni Khwahish Aur Bhukh Ke Mutabik Khaya Jab Khaane Se Fariq Hue To Fatiha Ki Darkhwast Ki Fatiha Padhi Aur Wahan Se Ravana Hue Wo Chinta Qayamgah Ki Sarhad Tak Sath Aaya Yahan Se Hazrat Ko Rukhsat Kiya, Jab Wo Chinta Chala Gaya To Hazrat Syed Noorul Ayn رحمة الله تعالى عليه Ne Is Waqia Ke Baare Me Puchha,_*

1f4cc📌 *_Hazrat Makhdoom Ashraf رحمة الله تعالى عليه Ne Farmaya Ki Chinta Tamam Chintiyo Ka Badhshah Hai, Ek Din Ek Ameer Is Jagah Par Shikar Ke Liye Aaya Tha Uske Paas Bahot Sa Khaana Tha Is Maqam Par Unhone Khana Khaaya Aur Bacha Hua Khaana Yahi Chhod Kar Chale Gaye Aur Kuchh Chintiyo Ke Bilo Par Daal Diya, Chintiyo Ke Badshah Ne Ye Tamam Chize Jama Karke Rakkhi Aur Niyyat Karli Ke Hum Iski Hifazat Karenge Aur Jab Koi Buzurg Yahan Aayenge To Hum Unki Dawat Karenge._*

*_Allah Ta’ala Ne Ek Darvesh Ki Jamat Yahan Pohcha Di Jaisa Ki Mushahede Me Aaya Usne Firasat Paayi._*

1f4da📚 *[ Lataife Ashrafi Jild : 2 Safha : 240 ]*

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm