Islamic Blog

HIQAYAT
**********
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Zamane May Ek Shaks Hazrat Abu Dujana Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ki Aadat Thi Ki Subah Namaz Padhte Hi Fauran Ghar Chale Jate The!

Ek Din Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Daryaft Farmaya Ki Aisa Kyon Karte Ho? Unohne Bayaan Kiya Ki Mere Padosi Ke Ghar May Chooaare Ka Ek Darkaht Hain, Raat Ko Uske Chooaare Mere Sahen May Girte Hain To Subah Ko Mere Bacche Unko Utha Lete Hain! Isliye Main Unke So Uthne Se Pehle Hi Wo Saare Chooaare Jo Raat Ko Girte Hain Main Unko Uthaker Padosi Ke Ghar Fhenk Deta Hoon!

Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Uske Padosi Ko Bulaya Aur Farmaya Ki Apne Chooaare Ke Darakht Ko Jannat Ke Chooaare Ke 10 Darakht Ke Aewaz (Badle) Farokht Karde! Yeh Sunker Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Bole, Ya Rasoolallah! Mere Us Darakht Chooaare Ke Fala Jagah Per Hain! Main Wo 10 Darakht Ise Deta Hoon! Jannat Ke Darakht Aap Mujhe De Den!

Chunanche, Isi Tarah Baat Yeh Hogayi! Abu-Dujana Ke Padosi Ne Bhi Yeh Manzoor Kerli, Dusri Subah Ko Jo Dekha To Wo Chooaare Ka Darakht Abu-Dujana Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ke Sehan May Khada Tha!

(Nujjahtul Majalis, Jild-1, Pg-387)
************************
SABAK
********
Sahaba-A-Kiraam May Kamaal Darje Ka Takwa Tha! Dusron Ki Chiz Per Wo Kabhi Apna Kabza Nahi Jataate The!

Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Jannat Aur Jannat Ki Har Chiz Ke Maalik Wa Mukhtaar Hain! Warna Jannat Ke 10 Darakht Ke Badle Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Abu-Dujana Ke Padosi Ka Darakht Kyon Kharidte?

Yeh Bhi Malum Hua Ki Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Har Baat May Sabse Pehle Tasdiq Farmaya Karte The!

Yeh Bhi Malum Hua Ki Darakht Bhi Hamare Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Marzi Pehchante The!

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)