Islamic Blog

HIQAYAT:-
**********
Ek Shaks Ke Ghar May Chor Ghus Aaye! Ghar Wale Ki Aankh Khul Gayi! Usne Choron Ko Dekh Liya! Choron Ne Is Dar Se Ki Yeh Kahin Subah Hame Pakadwa Na De, Use Daboch Liya! Usse Kaha Ki Tum Yun Kaho Ki Agar Maine Kisi Ko Bataya Ki Yeh Log Mere Chor Hain To Meri Biwi Per 3 Talaak! Ghar Wala Bechara Majboor Tha! Usne Yeh Halaf Utha Liya Aur Keh Diya Ki Agar Main Kisi Ko Bataoun Ki Yeh Log Mere Chor Hain To Meri Biwi Per 3 Talaak! Chor Yeh Kehelwaker Uska Maal Wa Asbaab Legaye! Jab Subah Hui To Wo Shaks Choron Ko Dekhta Raha Magar Halaf Wa Talaak Ki Wajahse Bol Na Sakta Tha!
Aakhirkaar Wo Hazrat Imaam Aazam Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ke Paas Aaya! Pura Wakiya Arz Karke Kehne Laga Ki Huzoor Choron Ko Main Acchi Tarah Pehchanta Hoon! Magar Wo Zalim Mujhse Yeh Kasam Le Chuke Hain Ki Agar Main Kisi Ko Bataoun Ki Yeh Log Mere Chor Hain To Meri Biwi Per 3 Talaak!
Hazrat Imaam Aazam Ne Mohalle Ke Moazziz Logon Ko Jama Kiya! Aur Farmaya, Shaher Ke Jitne Badh-Chalan Aur Badhmash Log Hain Unko Ek Haweli May Jama Karo!

Chunanche, Un Logon Ne Shaher Ke Jitne Badh-Chalan Log The Un Sabko Ek Haweli May Jama Kiya! Unse Farmaya, Ki Is Bechare Ke Maamle May Madad Karo! Hazrat Imaam Ne Us Shaks Se Jiske Ghar Chori Hui Thi Farmaya, Ki Tum Hamare Sath Darwaze Per Khade Hojao! Hum Ek-Ek Shaks Ko Baaher Karte Jayege Aur Tumse Puchte Jayege Ki Kya Yeh Tumahra Chor Hain! Agar Wo Chor Na Ho To Tum Nahi Kehte Rehna Aur Agar Wo Chor Ho To Chup Hojana Kuch Mat Batana! Kyonki Tumahri Kasam Yeh Hain Ki Agar Main Bataoun Ki Yeh Log Mere Chor Hain To Meri Biwi Per 3 Talaak! Us Shaks Ne Kaha Bahoat Accha!
Chunanche, Haweli Mayse Ek-Ek Shaks Ko Nikala Jane Laga Aur Har Shaks Ke Mutaallik Usse Pucha Jane Laga Ki Kya Yeh Hain Tumahra Chor? To Wo Sabke Mutaallik Nahi Kehta Raha! Jab Uska Chor Aajata To Wo Chup Hojata Aur Log Use Pakad Lete! Is Tarah Saare Chor Pakde Gaye Aur Wo Shaks Talaak Ki Mushkil Se Bhi Bach Gaya!

(Latayif-A-Ilmiya Kitaabul-Azkiya-Imaam Ibne Jauji Pg-138)

*********************************
SABAK:-
*******
Hamare Imaam Aazam Ko ALlAH-TA’AALA Ne Deen Wa Duniya Ki Behtarin Samajh Ata Farmayi Thi! Aap Mushkil Se Mushkil Guthti Pal Bhar May Suljha Lete The!

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm