Mas’ala(मस्अला) : Daarhi Mundaana-KatRaana Shar’an Haraam o Gunah He Is Liye Is Khilaf-e-Shar’a Kaam Ke Liye Ozaar(ओज़ार) o Samaan Banaana Uski Khareed-o-Farokht(Buying & Selling) Karna Hijaamo(Barber’s) Ka Logo Ki Daarhiya Mundna Katarna, Khash-Khashi Karna Aur Aesi Kamaayi Kamaana Bhi Haraam-o-Gunah He Kyunke Haraam o Gunah Ka Zareeya Bhi Haraam Aur Gunah o Khilaf-e-Shar’a Harkaat Par Kisi Ki imdaad-o-i’aanat(Help) Karna Bhi Mamnu o Na-Jaiz He. Mawla Ta’aala Farmata He
ولا تعاونوا على الاثم والعدوان،
Gunah Aur Zayaadati Par Ek-Dusre Ki Madad Na Karo.
Mas’ala : Jesa K Daarhi Ki Hadd-e-Shar’ee Ek Qabza(मुठ्ठी) He Isi Tarah Mooncho Ki Miqdaar Bhi Muqarrar He, Badi-Badi Moonche Rakhna Sakht Mamnu He Aur Mooncho Ka Bilkul Safaaya Karna Aur Moondna Bhi Durust Nahi He. Tahqeeq Yahi He K Mooncho Ka Kam Karna Sunnat He itni Kam Kare K Abru Ki Misl Ho Jaaye. Yani itni Kam Ho K Upar Waale Hont Ke Baalaayi Hissa Se Baal Na Latke(Aur Mooncho Ke Baalo Se Baalaayi Hont Ki Surkhi o Kinaara Posheeda Na Ho). Durre-Mukhtaar Wagairah. Fataawa Hammaadiya Mai Manqool He K
عن ابى حنيفة مقدار الشارب مقدار الحاجب،
Yani : Imam-e-Aazam Abu-Haneefa RadiyAllahu Anh Se Marwi He K Mooncho Ki Miqdaar Abru Ki Miqdaar Ke Baraabar Honi Chahiye.
Mas’ala: Neeche Ke Hont Ke Dono Taraf Ke Baal Baal Oukhedna(उखेड़ना) Bid’at He Us Se ijtenaab Karna Chahiye. Radd-ul-Mukhtaar Mai He :
نتف الفنبكين بدعة وهى جانبا العنفقة وهى شعر الشفة السفلى كذا فى الغرائب،
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021