Islamic Blog

Aj kal Deen se is qadr be-parwai aur nigahon me deen ki is qadr be waq’ati hogai hai ke deeni baton ke mutalliq log jo muh me aaye tabsarah kar guzarte hain, bichari dadhi ka bhi kuch aisa hi Hashr hua hai, log is ke bare me tarah tarah ke Remarks karte hain, darhaqeeqat wo log apni jiballat(tabiat) o fitrat se majboor hain unho ne apni jo aadat aur khaslat maahol ke asraat se banaali hai aur dajjali fitnon se mutassir hokar jis fitrat o Jiballat( Tabi’at) ko apne androon me janam de liya hai us ke pesh-e-nazar wo dadhi par tarah tarah ke remarks karne par majboor hain ab inhi baton ke jawabaat pesh-e-qidmat hain, is umeed se ke un ko padh kar log deen-e-fitrat ki taraf rukh pheren aur Siraat-e-Mustaqeem par gaamzan hone ki sa’aadat hasil Karen.

Jaisa Des waisa Bhes
Baaz Hazraat kehte hain ke Aanhazrat Sallallahu alaihi wasallam ne Qaumi aur Mulki riwaaj ke darje me dadhi rakhi thi aur ab chunke riwaaj badal gaya hai yani dadhi mundwane ka riwaaj hogaya hai is liye jaisa des waisa bhes, ab dadhi rakhna aib hai.

Mere Bhaiyo! Ap hazraat ka ye khayal Saheeh nahi hai balke Ahle Arab ka dadhi rakhna is liye tha ke Millat e Ibrahimi ke chand baqaya ahkaam jo unme Baaqi reh gayi the un me dadhi rakhna bhi tha jis tarah wo Haj karte the Baitullah ka Ahteraam bhi unme paaya jata tha, Khatna bhi karate the to ye sab Millat e Ibrahimi ke Ahkaam the jo kisi na kisi Soorat me baaqi reh gaye the.

Iske Ilawa Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne dadhi is liye nahi rakhi thi ke wo Mulk ka Riwaaj tha balke isliye rakhi thi ke wo Millat e Ibrahimi ki baaqi maandah Sunnat thi, Neez Allah paak ne Ap sallallahu alaihi wasallam ko is ka hukm diya tha Tareekh Tabri me ye hadees manqool hai

أَمَرَنِي بِإِعْفَاءِ لِحْيَتِي , وَقَصِّ شَارِبِي

“Mere Rab ne mujhe dadhi badhane aur moonche katarwane ka hukm diya hai.”

(Tareekhe Tabri 2/656)

Aur Saheeh Muslim me Hazrat Ibne Umar razi Allahu anhu se marwi hai keh

عَنِ ابْنِ عُمَرَ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنَّهُ: «أَمَرَ بِإِحْفَاءِ الشَّوَارِبِ، وَإِعْفَاءِ اللِّحْيَةِ»

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne moonche katarwane aur dadhiyan badhane ka hukm diya.

(Muslim 259, Abu Dawood 4199)

Pehli hadees is baat ki sareeh daleel hai ke Aanhazrat sallallahu alaihi wasallam dadhi badhane aur moonche tarashwane ke liye apne rab ki taraf se mamoor the, aur doosri hadees se maloom hua ke hum in dono baton ke baargaahe risalat se mamoor hain lekin Ap hazraat farmate hain ke Mulki riwaaj ki bina par dadhi rakhi thi. فیا للعجب!

Is ke ilawa Islam ka kaam riwaaj ki pairwi karna nahi hai balke usko mitana hai agar Islam bhi riwaaj ke bahaao par beh jaye aur “butt shikan” hi “butt saaz” ban jaye to phir Musalmani kahan gayi?!

Ap ke Ijtehad ka haasil to ye niklega ke Nabi jab dunya me aate hain to mulki o qaumi riwaaj par amal karte hain aur jab dunya se tashreef lejate hain to riwaaj ko apna Qaayem maqaam bana jate hain aur Ummat se keh jate hain ke jaise jaise riwaaj badle waise waise tum bhi badalte rehna goya saari shariyat ka haasil sirf ek Fiqrah hai ke “JAISA DES WAISA BHES”

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm