Islamic Blog

Nabi-E-Kareem Raoofur Raheem (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya:
“Aurato Se Unke Husn Ke Sabab Shaadi Na Karo Ho Sakta Hai Uska Husn Tumhe Tabah KardeNa Uske Maal Ki Wajahse Shaadi Karo Ho Sakta Hai Ke Unka Maal Tumhe Gunaho Me Mubtela Karde,Balki Deen Ki Wajahse Nikah Kiya Karo Kali, Chapti, Badsurat Ladkii Agar Deendar Ho To Behtar Hai “
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees No 1926, Safa 522)
Farman-E-Mustufa (Sallallahu Alaihi Wasallam)
“Shaadi Karne Me Maal Wa Daulat Husn Wa Jamaal Aur Hasab Wa Nasab Ko Tarjih Na Do Balke Deendar Aurat Se Shadi Karke Kamyab Ho Jao”.
(Bukhari Sharif, Hadees: 5090)
Hazrat Abuhuraira wa Hazrat Jaabir Radiallaho Anhu seRiwayat He Ke Nabi E Rehmat Sallalaho Alayhi Wasallam Ne irshad farmaya:
“Aurat se 4 chizo ki wajahse nikah kiya jata he
1. Uska Maal 2. Husn wa Jamal 3. Uska Khandan 4. Uske Deendar hone ki wajahse. Lekin tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar”(Bukhari sharif Jild 3, Safa 59, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 555)
In Tamaam Hadees Sharif Se Ye Saabit Hai Ke Nikah Karte Waqt Deendari Dekhi Jaye.
Aajkal Aksar Log Paisa Aur Jaydat (Property) Dekh Kar Shaadi Karte HaiAur Unka Khayal Hota Hai Ke Ladki Chain Aur Sukoon Ki Zindagi Basar Karegi.Aye Imaanwalo,ALLAH Ne Jo Kuch Tumhare Muqaddar Me Likha Hai Usse Jyada Ya Kam Aapko Hargiz Nahi Mil Sakta.Mere Pyare Islami Bhaiyo Aur Behno,Deendar Ladka Ya Ladki Se Shaadi Karne Se Aapki Zindagi To Sawar Jayegi Hi Sath Me Aapki Aanewali Nasl Bhi Deendar Hongi.
ALLAH Ham Sabko Nek Taufiq De
Aameen

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm