Kya imaan walo k liye wo waqt khareeb nahi aaya k unke dil ALLAH k zikr aur nazil hone wale haq k liye jhuk jaye.
ALLAH TA’ALA aur iske RASOOL E MUKARRAM ﷺ ki muhabbat k sache jazbe ka imaan k raasikh karne me bada kirdaar hai, imaan ki to muniyaad hi muhabbat hai aur imaan jazbe hi se qayam rehta hain.
HADEES:
Hazrat syedna omer farooq رضي الله عنه ki hadees jisey hazrat anas رضي الله عنه ne riwayat kiya hai is haqeeqat ko khoob achi tarah be naqaab karti hai.
Hadees saheeh me is per tambiya aayi hai k hazrat Abdullah ibne hashaam ibne zohra tayemi رضي الله عنه se riwayat hai k hazrat omer bin khattaab رضي الله عنه ne arz kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ, ap mujhe meri jaan k alawa har cheez se zyada mehboob hain
.
AP ﷺ ne farmaya khasam hai is zaat e aqdas ki jiske khabza e khudrat me hamari jaan hai, tum kaamil momin nahi honge jabtak hum tumhare nazdeek tumhari jaan se zyada mehboob na ho.
Hazrat omer رضي الله عنه ne arz kiya, HUZOOR ﷺ a pap mujhe meri jaan se zyada mehboob hain, ap ﷺ ne farmaya, aye omer رضي الله عنه tumhara imaan kamil hua hai.
(BUKHARI, BAAB – HUB E RASOOL MINAL IMAAN, HADEES 1/55)
(MUSLIM, HADEES 44)
(NISAYI, 114 – 8/15)
(IBNE MAAJA, HADEES 167)
In tamaam ahadees o dalayel k baad hum keh sakte hain k khwaab me deedar 6 tariqe per ho sakta hai.
Ap ko NABI KAREEM ﷺ ki in sifaat k sath ziyarat ho jo seerat o shumayel ki kitabo me bayaan ki gayi hain aur apko kaha jaye k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain aur apke dil me bhi ye baat aaye k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain.
Ap ko NABI KAREEM ﷺ ki ziyarat in sifaat k sath ho jo kutub shumayel me bayaan ki gayi hain aur apko kaha jaye k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain, lekin apke dil me ye waqey na ho k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain.
Ap ko NABI KAREEM ﷺ ki ziyarat kutub shumayel me bayaan kirda kutub ki sifaat k sath ho, lekin apko ye na kaha jaye k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain aur na hi apke dil me ye waqey ho k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain.
AP ﷺ ki ziyarat kutub shumayel ki bayaan karda sifaat k mutabiq na ho aur apko kaha jaye k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain aur apk dil me bhi ye waqey ho k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain.
Ziyarat kutub shumayel k mutabiq na ho aur apko ye na kaha jaye k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain, ta hum apk dil me ye waqey ho k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain.
Ziyarat kutub shumayel k mutabiq na ho aur apk dil me ye waqey na ho k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain lekin koi shaks apko bataye k ye RASOOL ALLAH ﷺ hain.
CONTINUE…
TALIB E DUA:
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021