Islamic Blog

●◗► Ghaflat bhari zindagi Guzarne se Insan ka Dil Andha hojata hai, Deen se doori se Dil Andha hojata hai, Nabina Aadmi ko Andhere aur Roshni, Dost o Dushman ki Tameez nahi rahti aur naa hi Nafa o Nuqsan wali cheez pehchan sakta hai Bilkul isi tarah..
“Jab Dil Andha hojata hai to Insan bade se Bada Gunah kar leta hai Magar us ke Kaan par Joo bhi nahi raingti, us ko Naik logon ki sohbat Acchi nahi lagti aur Bure logon ki Sohbat Acchi lagne lagti hai.”
●════════════════════◄►═══════════════════●
✦…….Insani Dil kya hai..?? Qur’an ki Roshni Mein…….✦
❶ Iman ka Maskan (Makaan) (Qur’an 5:41) Taqwa, Parhaizgari (Qur’an 49:3) Aur khofe khuda ka Markaz Quloob hain. (Qur’an 22:32)
❷ Nifaq ki Jaga (Qur’an 9:8) Shak aur Hichkichahat ka Moqam bhi Qalb hote hain. (Qur’an 9:45)
❸ Ruhani Amraz ki Jaden Quloob mein hi hoti hain. (Qur’an 2:10)
❹ Ye Quloob hain jo Narm pad jate hain (Qur’an 39:23) Sakht hokar patthar jaise hojate hain. (Qur’an 2:74)
❺ Qalb ka kaam Samajhna aur Istedlal karna hota hai (Qur’an 7:179) Quloob Andhe bhi hojate hain. (Qur’an 22:46)
❻ Ye Dil hi hain jo Itminan o Sukoon ka Moqam hote hain. (Qur’an 13:28)
❼ Aazmayeshon ke muqable ki Taqat bhi Qalb mein hoti hai (Qur’an 64:11)
❽ Narmi aur Rahem ke Jazbat (Qur’an 57:27) aur Bradrana Mohabbat bhi Qalb mein hoti hai. (8:63)
❾ Gaiz o Gussa ka sar chashma (Qur’an 9:15) Pachtawe aur Afsos ke Ehsasaat bhi Qalb mein hote hain. (Qur’an 3:156)
➓ Agar Dil durust aur Mahfooz (yani Qalb saleem) raha to Qayamat ke din kamyabi ki 100% Zamanat hai. (Qur’an 26:89)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm