Doodh Peene ki dua:
Imam Ahmed wa Abu Dawood wa Tirmizi wa Ibne Majah ne Ibne Abbas رضي الله عنه se Riwayat ki ke RASOOLALLAH صلى الله تعالى عليه واله وسلم ne farmaya jab koi sakhs khana khaye tou ye kahe
۔ اَللّٰھُمَّ بَارِکْ لَنَا فِیْہِ وَاَبْدِلْنَا خَیْرًا مِّنْہٗ.
* अल्लाहुम्मा बारीक़ लना फ़ीहि व ज़िदना मिन्हु *
Tarjuma: Aey ALLAH hamare liye us (khane) me barkat aata farma, aur hume us se behtar badla ata farma.
Aur jab doodh piye tou ye kahe
اَللّٰھُمَّ بَارِکْ لَنَا فِیْہِ وَزِدْنَا مِنْہٗ.
Tarjuma: Ae ALLAH hamare liye usme barkat ata farma aur hume mazid ata farma.
Doodh peene ke baad ki dua
Hazrat Abdullah Abbaas bayaan karte hai Rasoolullah (S.A.W) ne farmaya: jise Allah ta’ala doodh pilaaya to woh yeh dua padhe
ALLAAHUMMA BAARIK
LANKA FEEHI
WAMANDA MINHU
Tarjama : Aye Allah! Is mein hamaare liye barkat ata farma aur hamein ziyada ata farma.
Kyunki doodh ke siwa koi aisi chiz nahi jho khane aur pani dono ke kaim makam ho.
[Sho’abul Iman, Baab fi al mataum wal masharib, Jild 5, Page No. 104, Hadith No. 5957]
SubhanALLAH mere AAQA ne kya haq farmaya aur jho farmaya woh aaj se 1400 saal pehle farmaya diya jise aaj scientist keh rahe hai ki doodh woh khurak hai jisme har khane ke vitamins, Vitamins A, B6, B12, C, D, K, E, thiamine, niacin, biotin, riboflavin, folates, aur pantothenic acid, protins, iron, salfar, starch, Calcium, carbohydrate jisme lactose, glucose, galactose, wagirah chize mila kar ek mukammal khurak hai jho kisi khane me ya pani me nahi. Aur ye sari chize science aaj kehti hai magar hamare AAQA ne doodh ki ahemiyat ko aaj se 1400 saal pehle bata diya. Aur uske liye khas dua bhi hume sikhadi, kahiye.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022