Islamic Blog

Hazrat Abu Kabshah
Anmaari (RadiALLAHU Ta’ala
Anhu) Se Riwayat Hai,
RASOOLALLAH
(Sallallahu Alaihi Wa’sallam)
Ne Farmaya
.
“Main 3 Baato Ki Qasam
Khata Hoon Aur Tum Se Ek
Hadees Bayan Karta
Hoon Use Yaad Rakhna”
.
1). Sadqa Karne Se Kisi Ke
Maal Mein Kami Waqai Nahi
Hoti”,
.
2). Jis Kisi Par Zulm Ho Aur
Woh Sabr Kare To ALLAH
Uski Izzat Mein Iazafa
Farmata Hai”,
.
3). Jo Shaks (Logon Se)
Mangna Shuru Kar De Tuo
ALLAH Us Par Fikr Aur Tangi
Ka Darwaza Khol Deta Hai.
(Aur Woh Har Qisam Ke
Maal-O-Doulat Hone Ke
Bawajood Mangta Phirta
Hai)”
.
Phir Farmaya,
.
“Ek Aur Baat Bayan Karta
Hoon Use Bhi Yaad Rakhna.
Yeh Duniya Mein 4 Qisam Ke
Logo Ke Liye Hai”,
.
1). Ek Woh Jise ALLAH Maal-
O-Doulat Aur Ilm Se
Nawazta Hai Aur Woh Inn
Dono Ke Baare Mein ALLAH
Se Darta Rehta Hai, Suleh
Rehmi Karta Hai Aur ALLAH
Ke Haq Ko Jaanta Hai (Aur
Ada Karta) Hai.
Aisa Aadmi
Afzal Hai.
.
2). Dusra Woh Jise ALLAH
Ilm Ata Farmaye Aur Doulat
Na De Magar Woh Siddiq-O-
Khaloo s
Se Kahe Ke,
“Agar Mere Paas Maal Hota
To Main Falah Ki Tarah Nek
Amal Karta”, Hala Ke Us Ki
Sirf Niyat Hai Aur Dusre Ka
Amal Hai To Dono Ko Sawab
Barabar Milega.
.
3). Teesra Woh Hai Jise
ALLAH Maal Ata Farmata Hai
Aur Woh Ilm Se Mehroom
Hota
Hai Woh Maal Ko Be-
Intehaa Bagair Soche-
Samjhe Aur Bagair Ilm Ke
Kharch Karta Hai.
Na ALLAH Se Darta Hai
Na Sila Rehmi Karta Hai Aur
Na ALLAH Ke Huqooq Jaanta
Hai Aur Na Ada Karta Hai
Yeh
Shakhs Sab Se Bura Hai.
.
4). Choutha Woh Jise ALLAH
Ne Na Ilm Diya Na Maal
Lakin Woh Keheta Hai Ke,
“Agar Mere Paas Maal Hota
To Mai Falah Ki Tarah (Bure)
Kaam Karta”
Hala Ke Uski Sirf Niyat Hai
Aur Dusre Ka Amal Hai To
Dono Ko Gunaah Barabar
Hai.
.
– (Tirmizi, Al Zuhd, Baab
Maja Misal Al Duniya Misal
Arba Nafar:2335)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm