Islamic Blog

** Assalamu Alaikum **
AL QURAN > *(BESHAK) TUMHE JO DIYA GYA HAI -WO- SIRF DUNIYA KI ZINDAGI KA SAAMAN HAI – AUR- YAHI KI “RAUNAK” HAI
HAA- MAGAR *ALLAH* KE PAAS JO HAI – WO- BAHUT HI BEHTAR HAI – AUR- HAMESHA “BAAQI” RAHNE WALA HAI – KYA PHIR BHI TUM NAHI SAMAJHTE )*
Surah QASAS – Ayat no – 60
Dosto – *ALLAH TALA* Farma Rahe Hain > ki – Kya Tum Log – is Haqiqat se Be khabar Ho – ki- Ye Duniya Aur iski Raunake Ek dum Hakeer aur Ek din khatam Hone wali Hain
Jabki *ALLAH* ne – Eiman wale Bando ke Liye – Apne paas Jo Nemate – Jo “Aish o Aaram”- Jo Aashaise aur Sa’hulte Tayyar Kar Rakhi Hain – Wo- Daymi aur Hamesha BAQI Rahne wali Hain
Aur – Bahut Azeem Nemate Hain
ASHRAFUL ANBIYA sal lal Laho alaihe wasallam ka irshade girami Hai > ki- *ALLAH* ki Qasam – Duniya- Aakhirat ke Mukable me Aisi Hai – Jaise > Tumme se koi Shaks Apni Ungli (Fingur) SAMANDER me Dubo ker Nikaal Le
Dekhe – ki – Samander ke Mukable Ungli me kitna Paani Hoga ( bus- Ungli ka Paani Hi Duniya ki Zindagi Hai )
$ahi Muslim – kitabul Jinna- Babe Fanah
Dosto – Ager Poori Duniya ke Bareek Zarro me Tabdeel kar diya Jay – Aur – Rozana Ek Zarra Nikala Jay – to- kabhi na kabhi Wo Zarre bhi Khatam Ho Jayenge – Mager – Aakhirat ki Zindagi kabhi Nahi Khatm Hogi
isiliye -Dosto- Hamesha BAQI Rahne wali Aakhirat ki Zindagi ki FIKAR karo
Ye – Duniya – aur- Usse Pahle “Hum Sab” Khatam Hone Wale Hain
Abhi – Humko *ALLAH* ne Waqt Diya Hai – is Waqt ko – Yu -Mat Jane Do
Yaha ki Ek Ek Neki WAHA kaam Aane wali Hai
Aaiye dosto – Hum irada kare-ki- Mahe Ramzan ke Guzar Jane ke Baad bhi- Hum- Namaz aur ibadat me Ghaflat Nahi karenge
ALLAH – Hum sabhi ko Hidayat Naseeb Farmaye
Aur- Siraate Mustakeem per Chalaye
Aameen Ya RAB BUL AALAMEEN

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm