Islamic Blog

**Duniya ke Butkado me- Pahla woh Ghar KHUDA ka **
**Hum Paasba Hain Uske- Woh Paasba Hamara **
** Assalamu Alaikum **
Dosto- Duniya me Sabse Pahla GHAR Jo Bana – Woh Yahi > KHANA E KABA -yani KABA TULLAH Hai
ise- insano me Sabse Pahle insan-Hazrat AADAM Alaihissalam ne- iski Hadbandi ki
Jab – Woh Jannat se Nikale gaye- aur- Kafi Muddat tak woh *ALLAH* ke Aage Rote Rahe
Tab *ALLAH* ne Unki Tauba Qubool ki
To- Unko Hukm e KHUDA WANDI Huwa >ki- IS DUNIYA ME PAHLA GHAR *ALLAH* KA BANAO
*ALLAH* ke Faristo ne AADAM (a.s) ko Ye Jagha Batayi- Jaha- Aaj KHANA E KABA Hai
Rewayto me Hai – Jab *ALLAH* ne Ye Qaaynat aur ye Duniya Banayi – to- is Duniya se kaha > ki- TUMKO MERI “TABEDARI” ME AANA HAI
To – Us waqt- Sabse Pahle- Jis Jagha se Labbaik (Haazir Hoon) ki Aawaz Aayi – Woh Yahi Jagha thi
Tab *ALLAH* ne Farmaya > ki- MAI TUJH PER APNA “GHAR” AUR POORI DUNIYA KE LIYE IBADAT KA MARKAZ BANAUNGA- LOG , IS GHAR KI ZIYARAT- HAJ UMRAH KE LIYE TERE PAAS KHINCHE CHALE AAYENGE
Dosto- Aaj Science ne bhi Prove kiya Hai – ki- Poori Duniya ka Markaz (Center) Yahi Jagha Hai
Aap kisi ka Bhi Banaya World Map Dekh Lijiye -AL HUMDO LILLAH- Usme MAKKAH Hi DUNIYA ke Beech me Aayega
ALLAH – Hum Sabhi ko Apne GHAR ki HAJRI, HAJ, UMRAH karne ki Sa’adat Naseeb Farmaye
AAMEEN YA RRABBUL AALAMEEN

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm