Islamic Blog

Duniya mein har kisi ko apni khoobsoorti par naaz hota hai..
.
kisi ko zahiri taur par to kisi ko zehni taur par..
.
Khaobsoorti kya hai?
.
* khoobsoorat hai wo Lab …
jin par zikr e ilahi ho & dusron ke liye dua ho.
.
* khoobsoorat hai wo Dil …
jismein ishq e RASOOLALLAH sallallahu alaihi wasallam ho & jo dusro ke dukh me tadap uthe..
.
* khoobsoorat hai wo jazbaat….
jo dusron ki bhaawnaaon ko samjhey aur unki qadar karey.
.
* khoobsoorat hai wo ehsaas…
jismein pyaar ki mithas ho har ik ke liye..
.
* khoobsoorat hai wo baatein jinme ALLAH ka bhi zikar rahe aur kisi ke liye bhi burai aur shal kapat na ho.
.
* khoobsoorat hai wo aankhein…
jo burai mein bhi achchayi dhundhne ka hunar rakhti hon,
.
*khoobsoorat hai wo soch …..
jismein kisi ke liye fareb & bair na chipa ho
aur sbki khushi chupi ho.
.
*khoobsoorat hai wo Daaman …
jo paak ho & apney sathi ke gamon ko usmein chupa le.
.
* khoobsoorat hai wo aansoo..
Jo khauf e KHUDA me girey
aur dusron ke gum mein beh jaye…..
.
ALLAH hum sbko aisi khoobsoorti se nawaze,,
aameen ya rabb

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm