Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki
*Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam* ne farmaya
Jisne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye ki is se duniya me maaf kara le
kyun ki aakhirat me dinar aur diraham (Rupye / paise) nahi honge , is se pahle maaf karwa le warna uske bhai ke liye uski nekiyon me se haq dilaya jayega,
Aur agar uske paas nekiya nahi hongi to us mazlum bhai ki buraeeyan us par dal di jayegi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6534.
Hazrat Abu Saeed khudri Radi Allahu anhu se rivayat hai ki
Momeen dozakh se chutkara pajayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pul (bridge) hai jaha unhe rok liya jayega,
Aur phir ek dusre par kiye gaye mazalim ka badla liya jayega jo duniya me unke darmiyan huve the
Jab sab kuch saaf aur paak ho jayega “yani sabko badla mil jayega” uske baad unhe jannat me dakhil hone ki ejazat milegi
Us zaat ki kasam jiske haath me *Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam* ki jaan hai jannaatiyo me se har koi apne ghar ko duniya me apne ghar ki muqable me zyada acchi tarah pehchan lega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6535.
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021