Islamic Blog

Eid ki subah Allah farishto ko duniya mein bhejta hai. Farishte duniya mein aakar har gali, gar road par khade ho jaate hain aur awaz dete hain ke “Ae Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki ummat, us bahut raham karne wale Allah ki taraf chalo jo bahut zyada dene wala hai”. Inki awaz ko jinnat aur insan ke siwa har jaandar sunta hai.
Jab log apne gharo se eidgah/masjid ke liye jaate hain to Allah apne farishto se farmata hai ke “Kya badla hai us mazdoor ka jo apna kaam pura kar chuka ho”. Farishte arz karte hain ke “Iska badla ye hai ke mazdoor ki puri-puri mazduri de di jaae”.
Iske baad Allah farmata hai ke “Ae farishto tum gawah rahna ke mein ramzan ke roze aur taraweeh ke badle in logo se raazi ho gaya aur inko maaf kar diya”
Phir Allah apne bando se kehta hai ke “Ae mere bando, tumko jo chahiye mujhse maang lo. Meri izzat ki qasam, mere jalal ki qasam, aaj ke din is istima (eidgah/masjid) mein akherat ke baare mein jo dua karoge mein puri karuga aur duniya ke liye jo tum mangoge wo tumko dunga (agar wo tumhare haq mein behtar ho). Meri izzat ki kasam, agar tum mujhe yaad rakhoge, mein tumhari galtiyo ko maaf karta rahunga aur unko chhupata rahuga, meri izzat ki kasam aur mere jalal ki kasam, mein tumhe kisi dusre ke aage ruswa na hone dunga. bas ab yaha se bakshe-bakshae (maafi kiye hue) apne gharo ko lot jao, tumne ramzan ke roze, tarweeh, duaon aur apni ibadat se mujhe mana liya hai aur mein bhi raazi ho gaya.
Is din jo inaam Allah apne bando ko deta hai usko dekh kar farishte bhi khush ho jaate hain. Lekin afsos ke kuch bad-kismat log aese bhi hote hain jinko is din bhi Allah ki ye rahmate nahi mil paati, ye wo log hain jo apne maa-baap ka kehna nahi sunte, aur wo log muslim jo aapas mein jhagda karte hain (phir ek dusre se baat karna bhi band kar dete hain).
Bhaiyo-bahno, agar Allah ki itni badi-badi rahmato se mehrum nahi hona chahte ho to jinse aapka jhagda hai ya narazgi hai unse apne gila-shikwa door kar lo, agar tumhari galti hai to aage hokar maafi maang lo, aesa karne se tumhari izzat kam na hogi, balki saamne waale ke dil mein tumhari izzat badhegi, aur agar dusre ki galti hai to tum usko maaf kar do, aesa karne se Allah ke yaha tumhare hi darja uncha hoga. Tum Allah ke liye dusre ko maaf karoge, Allah tumko maaf karega.
Aur jo apne maa-baap ka kehna nahi sunte, unki izzat nahi karte, aese logo ko aaj hi Allah se aur apne maa-baap se maafi maang lena chahiye, aur dobara aesa na karne ka pakka irada karna chahiye. Aesa karne ke baad Allah ki rahmate baarish ki tarah hum par barsegi, in-sha-Allah.
Allah hum sabke Rozo aur taraweeh ko kubul kare, Allah hum sab par apni rahmato ki baarish kare, hum sabke gunaho ko maaf kare, aur hum sabko jannautal firdaus mein jagah ata kare.
A@MEEN SUMM@ A@MEEN

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm