Islamic Blog

EID Ki Namaz Padhne Ka Tarika, Eid Ki Namaz – ईद की नमाज़ का तरीक़ा

Eid Ki Namaaz Ki Niyyat:
Main 2 Rakat Eid ul Fitr Ki Wajib Namaaz 6 Ziyada Takbir Ke Sath Imaam Ke Pichhe Parh Raha Hun

1, Pehli Takbeer
Jab Imaam Pehli Takbeer Kahe To Dono Haath Kano Tak Uthaye or Hatho Ko Bandh Kar SANA«subhanakallahumma» Parhe

2, Dusri Takbeer
Jab Imaam Sahab Dusri Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chor Dewe

3, Tisri Takbeer
Jab Imaam Sahab Tisri Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chor Dewe

4, Chouthi Takbeer
Jab Imaam Sahab Chothi Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Uthaye Phir Bandh Lewe

Phir Imaam Sahab Ke Saath Pehli Rakaat Dusri Namaazo Ki Tarah Ada Kare

Dusri Rakaat:
Jab Imaam Sahab Pehli Rakat Puri Kar Ke Dusri Rakaat Shuroo Kare To
Imaam Sahab Ki Qirat Karne Ke Baad RUKOO Me Jane Se Pehle Imaam Sahab Takbeer Kahennge

1, Pehli Takbeer
Jab Imaam Sahab Pehli Takbeer Kahe To Hatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chhorh Dewe

2, Dusri Takbeer
Jab Imaam Sahab Dusri Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chhorh Dewe

3, Tisri Takbeer
Jab Imaam Sahab Tisri Takbeer Kahe To Haatho Ko Kano Tak Utha Kar Phir Chhorh Dewe

4, Chouthi Takbeer
Jab Imaam Sahab Chouthi Takbeer Kahe To
Sidhe Rukoo Me Chale Jayen
HATHO Ko KAANO TAK NA UTHAYE

Phir Dusri Namaazo Ki Tarah Imaam Ke Saath Apni Namaaz Puri Karen….

Namaaz Baad Khutba Sune.
Khutba Sunna Bhi Wajib Hai..

Reference [ Hidaya Sharh e Waqaya Qudoori ]

ईद की नमाज़ का तरीक़ा :

पहले नियत करें

👉 नियत की मैने दो रकात नमाज वाजिब ईदुलफीत्र या ईदुलअज़हा की जाईद छः तकबीरो क साथ मुॅह मेरा काबा शरीफ की तरफ
वासते अल्लाह तआला के पीछे ईस ईमाम के.
👉फिर अल्लाह हू अकबर कहैं
इमाम तकबीर कहकर हाथ बांधकर सना पढ़ेगा । इसके बाद ज़ाईद तकबीरैं होंगी ।

1 पहली तकबीर केहकर हाथ कानों तक उठाकर छौड़ना हे ।
2 दुसरी तकबीर केहकर हाथ कानों तक उठा कर छौड़ना हे ।
3 तीसरी तकबीर कहकर हाथ कानों तक उठाकर बांधना हे

इसके बाद क़िरात होगी और रुकु सजदा करके पहली रकात मुकम्मल करली जाऐगी।

दुसरी रकात के लिऐ उठते ही इमाम क़िरात करेगा यानी सुराऐ फ़ातिहा और सूरत पढ़ेगा इसके बाद ज़ाईद तीनों तकबीरैं होंगी

1 पहली तकबीर केहकर हाथ कानों तक उठाकर छौड़ना हे
2 दुसरी तकबीर केहकर हाथ कानों तक उठा कर छौड़ना हे
3 तीसरी तकबीर केहकर हाथ कानों तक उठा कर छौड़ना हे ।
यहां तक ज़ाईद तकबीरें मुकम्मल होगई ।

अब इसके बाद बिना हाथ उठाऐ तकबीर कहकर रुकू में जाऐगें ।
और बस आगे की नमाज़ दुसरी नमाज़ौं की तरह हे।
फिर सलाम फेरना होगी ।

Allah Amal Ki Taufeeq De.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)