❶ Miswak karna.
❷ Gusul karna.
❸ Shari’at ke dayere mein rahte hue Apni Aarayesh karna.
❹ Umdah se Umdah kapde jo paas Maojood ho pahenna.
❺ Khushbo lagana.
❻ Subah sawere uthna.
❼ Jald az Jald Eidgah pahochna.
❽ Agar Sadaqah Fitr ada na kiya ho to Eidgah jane se pehle pehle ada karlena.
❾ Eidgah jane se pehle koi Mithi cheez Maslan Khajoor wagerah khana.
➓ Eid ki Namaz, Eidgah mein jakar padhna.
⓫ Eidgah se wapasi par dusra raasta Ekhtiyar karna.
⓬ Eidgah paidal jana.
⓭ Raaste mein
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
“Allahu Akbar Allahu Akbar La ilaaha illallahu Wallahu Akbar, Allahu Akbar Walillahil Hamd!” Aahista Aawaz mein padhna.
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021